March 14, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 755
Yeh Safar
Gurbani ke paawan rass mein doobna
Guruji ne hai sikhaaya
Jeevan mein sachchaayee ka raasta
Guruji ne hai dikhaaya
Bachaa liya hamein doobne se
Agyaan ke mahasaagar mein
Apni mamta ka amrit barsaaya
Bharpoor hamaare mann kee gaagar mein
Guruji ne niswaarth sewa karne ko kaha
Unhonei hamaari khushi ke liye itna dard saha
Aur aaj bhi hamaara kalyaan karte Hain
Hamaari maangon kee jholi bharte Hain
Kehte Hain Guruji ki hum buss itna hee karein
Achchaayee karein aur achche insaan banein
Kaam aayein hum insaaniyat ke
Anuyaayee banein hum ruhaaniyat ke
Jhooth aur anyaay ka saath na dein
Guruji humse ye kahein
Kyunki anyaay ka saath dena bhi anyaay hota hai
Jis se insaan apna drishtikon khota hai
Guruji chaahein ki simran mein hum lagaayein mann
Tabhi dhanya hoga ye jeevan
Anmol ratna hai har pal simran ka
Guruji ka naam hai simran kee mala ka
manka
Satya ka sangg kar ke satsangi banein hum, Guruji kehte Hain
Har satsangi ke dil mein Guruji rehte Hain
Sabka bhaav jaante Hain Guruji
Sabki neeyat pehchaante Hain Guruji
Sachchaayee kee raah par chalne kee
Neeyat, bhavna, aur koshish ko Guruji parakhte Hain
Jo yeh zimmedaari nishkapat hokar shradha se nibhaate hain
Unke dil shanti aur santushti se dhadhakte hain
Guruji ko apna ‘mai’ samarpan karna hai
Aur satya aur nyaay se nahin darna hai
Yeh safar kabhi kabhi mushkil hotey huey bhi hai bahut haseen
Iska gawaah hai ye asmaan aur ye zameen
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja