March 16, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 757
Subah
Guruji kehte Hain shaant aur nishchint raho
Aur rakho vishwaas ke sangg itminaan
Lekin Unhonei jo maanav ka roop diya hai
Uska zaroori hai rakhna dhyan
Guruji ke anusaar tann aur mann hai mandir
Isliye inka dhyan karo aur inse pyaar karo
Baad mein aata hai kamra, ghar, aur Bada Mandir
In paanchon mandir ka aadar satkaar karo
Maanav roop mein toh Devi Devtaaon ko bhi
Karmic hisaab thei chukaane pade
Toh hum insaan kya cheez hain
Jo hum itne ahem mein hain khade?
Guruji Hain sambhaalne ke liye hamaara karmic karz
Lekin Ve chaahein ki hum bhi adaa karein apna farz
Jeevan kee yaatra mein nibhaana zaroori hai insaaniyat ka dharam
Isliye hamein bhi jhelne hee padenge kuch karam
Guruji kahein vishwaas karo, andhvishwaas nahin
Guruji kahein achche naagarik bano, karo jo samaaj ke liye hai sahi
Guruji kahein ki hum banein doordarshi, saavdhaan, aur ek dooje ko dheeraj dilaayein
Aur hum ek dooje ka khayaal kar insaaniyat ke dharam ko nibhaayein
Guruji agar aisa na chaahte
Phir toh naukari kee bhi zaroorat na hoti
Paisa khud bakhud aa jaata
Aur haath mein mil jaata kapda aur miltee roti
Bachche bhi bina kisee padhaayee likhaayee ke
Imtihaan mein paas ho paate
Hum sab haath dharey baithey rehte
Aur saare kaam khud bakhud ho jaate
Haath bhi na dhonei padte baar baar
Zarroratmand cheezon ke liye koi jaata nahin baazaar
Koi chikitsak ke paas beemaari ke ilaaj ke liye na jaata
Har koi ghar baithey baithey bin kuch kiye hee jee paata
Niswaarth hoti hai sewa jo ho sachchi
Aur jismein neeyat hoti hai achchee
Swayam ke liye aur doojon ke liye bhi
Jaise hoti hai lau jalte huey diye kee
Sakaaratamak vichaaron aur khandan mein hota hai bahut fark
Is sachchaayee par na laaghoo hota hai koi bhi tark
Guruji par vishwaas karo aur mushkil se lado, na asliyat ka inkaar karo
Guruji ko samarpan kar ke sab kuch, har chunauti ko sweekaar karo
Fikr na karo, lekin laaparavaahi bhi nahin
Zikr na karo, lekin beparvaahi bhi nahin
Daro nahin, kyunki hamaare sangg Guruji ke roop mein Hain Bhagwaan
Lekin sambadh raho aur sahaanubhooti se lo kaam
Na phaylaao udaasi ya aakasmik bhayy (panic)
Mann hee mann mein ye kar lo tayy
Chaukas raho aur raho tayyaar
Aur rakho khushi, ullaas, pyaar ko barkaraar (maintain)
Is jeevan kee karmic aur kalyugi yaatra mein
Hamaare sehchar( fellow travelers) hain kitnee badi maatra mein
Sabse prem karo agar vishwaas rakhte ho Bhagwaan mein
Apna sehyog do sabke kalyaan mein
Abb bhi samay hai, sunn lo waqt kee pukaar
Ek dooje par ummeed karte huey juda hai saara sansaar
Sehyog se badhaao duniya mein pyaar
Aisa mauka aata nahin hai baar baar
Hum sabko Guruji ne banaaya hai, isliye mil kar mushkil par vaar karo
Kewal simran mein nahin, sewa mein bhi Guru prem ka izhaar karo
Guruji ke vachan maankar Guruji se sachcha pyaar karo
Phir subah jaldi hee aayegi, buss, thoda intazaar karo
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja