Dil Se Yeh Pukaar (03/17/2020)

March 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 758

                Dil Se Yeh Pukaar

Guruji ne diya Hai yeh maanav jeevan
Is tohfe ka karein hum aadar
Aur Guruji ko sarv samarpan kar ke
Hataa lein apne mann se andhvishwaas kee chaadar

Guruji kahein hum Unpar vishwaas karein
Aur na swayam mein, na doojon ke dilon mein andhvishwaas bharein
Guruji kahein is shareer ka rakhein hum dhyan
Satya ke sangg aur simran se paayein adhyatmik gyan

Yeh avsar hai swayam ke bheetar jhaankne ka pehle se bhi zyada
Is mauke ka faayda uthaayein aur simran karne ka aur bhi pakka karein iraada
Logon se judne ke bajaaye Guruji se aur bhi zyada jud kar jeeyein
Sadhna karein, Guruji ka naam japein, aur Gurbani ka amrit peeyein

Yeh Guruji ka kahaa hua ek vachan hai
Ki kewal maree hui machhlee bahaav ke sangg behti hai
Isliye Guruji ke hukm anusaar jaagriti laayein
Kehne dein, jo bhi baaki duniya kehti hai

Na darein, aur sansaar ke kalyaan ke raaste par chalte jaayein
Shaayad hamein dekh kar kisee aur kee aankhein khul paayein
Achche naagrik bannkar nibhaayein insaaniyat ka dharam
Dar kar, yoon chup baithkar kyun karein hum burey karam

Hakeekat ka saamna karne kee rakhein himmat
Anyaay se ladne kee rakhein taakat
Sach mein Guruji par vishwaas hai toh
Rangg laayegi sachchaayee se kee hui ibadat

Anyaay ka saath dena bhi kukarm hota hai
Yeh jaante huey bhi na banein is satya se anjaan
Guruji sab kuch dekh rahein Hain
Ek ek shaqs kee hai Unhe pehchaan

Hum sabse galatiyan ho jaati hain
Maanav roop mein jeete huey
Kash hum sab sahi raaste par aa jaayein Guruji
Aapke ashish ka amrit peete huey

Guzaarish hai Aapse Guruji, ki Aapke sab bhakton ka pyaar ho niswaarth
Aur Aap kripa kar thaamein hum sabka haath
Taaki ummeed ke prakash se ujjwal ho yeh raat
Aur bann jaaye har bigdee hui baat

Shukrana hai Guruji Aapka har pal
Aapke ashirwaad se aayega sunehra kal
Saare kasht zaroor jaayenge tal
Aapke paas hai har museebat ka hal

Aapse yeh darkhwaast hai Guruji
Ki Aapke sab bachchon ka ho uddhaar
Sampoorna jagat ka kalyaan ho
Niklee hai dil se yeh pukaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dil Se Yeh Pukaar (03/17/2020)

Leave a comment