March 25, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 766
Aaj Kee Paristhiti
Aaj kee paristhiti aisee hai
Ki ghar se baahar nikalnaa hai mushkil
Ve sthaan bhi sannaatey mein hain
Jahaan kabhi lagti rehti thi mehfil
Baahar nahin jaa sakte hain Aap
Toh uthaayiye is avsar ka laabh
Apne bheetar jaane ka prayatna keejiye
Aur keejiye antarmann ko saaf
Kalyuga mein jo sthiti hui hai
Aaj poore sansaar kee
Aise mein divya ghadiyaan batorein
Guruji ke deedar kee
Zidd karni hee hai toh
Guruji ke naam ko simarne kee zidd karein
Kisee aadat par adhnaa hee hai
Toh naam japne kee aadat par adhein
Shabad kee amritvani kee varsha se
Seench lein apne dil ka upvan
Is upvan mein shradha ke suman upjaayein
Taaki vandan kee vatika bann jaaye ye mann
Vishwaas ka tripund aur tilak lagaayein
Samarpan ka bhaav antaratma mein jagaayein
Apna dharam nibhaayein insaaniyat kee oar
Apne kadam badhaayein ruhaaniyat kee oar
Guruji kee mehar toh abb bhi baras rahi hai
Varna aur bhi burey hotey haalaat
Isliye Guruji ko har pal yaad karein
Aur Unka anantam Shukrana karein din raat
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja