March 27, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 768
Ramayana
‘Ra’ka arth hai ‘prakash’, ‘ Ma’ ka matlab hai ‘swayam mein’
Toh Rama ka taatparya ye hua, swayam ke bheetar ka prakash
Isliye Ramayana shabd ka arth aur mahatva hai ruhaani
Aur ismein hai sampoorna satya ka sakaash
Ramayana kewal ek kahaani nahin
Jo sadiyon pehle thi beeti
Ye toh veh satya hai
Jo hai hum sabki aap beeti
Dashrath ka maayne ‘dus rath’, jo paanch gyaanendriyon aur paanch karamendriyon ke prateek hain
Aur Kaushalya hain Veh kaushal saarathi jinhonei Rama ko janam diya
Janam hua sadaachaari Vishnu avataar Rama ka
Jab saari indriyon ka kushaltaa se prayog hua
Ayodhya ka arth- veh dhaam jahaan yuddh na ho kabhi
Aur sadbhaav se reh paayein sabhi
Jaise Rama ka uss Ayodhya mein hua janam
Vaise hee prem ke prakaash ke liye yuddh ko hona hoga khatam
Abb dekhein, yeh satya kaise apne par laaghoo hota hai
Ramayana kee katha ka saar kaise hamaare hee bheetar hota hai
Mann hai Sita, atma hai Ram
Chetna hai Laxman, aur praan hain Hanuman
Mann roopi Sita ka ap-haran karta hai jab ahankaar roopi Raavan abhimaan se
Toh atma roopi Rama madad maangte Hain praani shakti wale Hanuman se
Chetna roopi Laxman thaamte Hain Ram ka haath
Aur Rama aur Sita punarmilan se ho jaate Hain saath saath
Jaise ahankaar roopi Raavan kee hoti hai haar
Aur Hanuman aur Laxman kee madad se jeet jaata hai Rama Sita ka pyaar
Vaise hee kaash hum sabka ahankaar ho jaaye chuur chuur
Aur chetna aur praan shakti se chchaa jaaye hamaare mann aur atma par Guruji ka noor
Kyunki hamaare Guruji prem ka prakash Hain
Guruji gyan ka sakaash Hain
Guruji Hain chetna, Guruji Hain praan shakti
Kyun na apne bheetar kee Ramayana ko saarthak karein kar ke Guruji kee niswaarth bhakti
Guruji ke prakash aur sakaash se
Antarmann aur atma mein Ayodhya ka Ram raaj hum laayein
Aur praan shakti aur chetna jagaakar
Swayam ka uddhaar kar paayein
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja