March 30, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 771
Hamaara Atma-bal
Kyun yash aur dhan ke lobh mein
Apne spandan ko hum pahunchaayein chot
Kyun laukikta ke laalach mein
Hamaare mann mein hum paalein khot
Kyun ahankaar karein aur inkaar karein?
Kyun na sach ko sweekar karein?
Kyun hum Guruji se darein?
Kyun na Unse hum pyaar karein?
Guruji se pyaar karenge toh komal hoga simran
Unkee mamta ke aanchal mein jhoom uthega ye mann
Prabhu se darenge toh kaise Prabhu ko paayenge
Zindagi ke anmol pal bin Guru prem ke vyarth hee beet jaayenge
Kamzor atma ko ahankaar ka jhootha sahaara lena padta hai
Isliye ahankaar mitaane ke liye zaroori hai atma-bal ko badhaana
Atma-bal deta hai satya ke raaste par chalne kee himmat
Aur satya deta hai neevanpann aur ruhaani taakat
Jitna karkash hota hai ahankaar ka vyavhaar
Uss se kaheen zyada madhur hoti hai neevenpann kee jhankaar
Isliye na karne dein hum ahankaar ko hamaari ruhaani vriddhi par vaar
Aur simran se atma-bal badhaakar karein Guruji ke hukm ko sweekar
Atma-bal badhne se ahankaar ke bajaaye
Praapti hogi neevenpann aur atma-vishwaas kee
Jeene mein aasaani hogi aur mann nahin hoga pareshaan
Kyunki atma-bal se milee chetna hum par hogi meharbaan
Guruji kitne prassann hongei ki hum Unke maargdarshan se
Atma-bal badhaakar apni madad kar rahei hain
Itna farz toh hamaara swayam aur Guruji kee oar bantaa hai
Aakhir Unhonei Hamaare liye kitne kasht sahei hain
Hum Guruji ke har vachan ka paalan karenge
Toh atma-bal awashya badhega hamaara
Hamaari changee neeyat ko dekhkar sahaayata karega
Agam agochar Guruvar hamaara
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja