Na Chodo Guruji Par Vishwaas (03/31/2020)

March 31, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 772

    Na Chodo Guruji Par Vishwaas

Na chodo Guruji par vishwaas
Na todo tum divyataa kee aas
Karte raho apna adhyaatmik vikas
Karte raho Guruji ke kareeb honei ka prayaas

Niswaarth hokar karo Guruji ka vandan
Jagat ke har praani ko bhejo sakaaratmakta ka spandan
Kya maalum kiskee dua kis ke kaam aa jaaye
Kya maalum kisko apni beemaari mein aaraam aa jaaye

Jo bhakti niswaarth na ho
Veh bhakti kis kaam kee
Mann ke mandir mein jalaaye rakho
Akhand jyot tum Guruji ke naam kee

Jitna samay simran mein bitaa sakte ho, achchaa hai
Insaaniyat ke prati sewa ka niswaarth bhaav sachcha hai
Guruji ka satsang karo pyaar se pariwaar ka sadasyon ke saath
Guruji ke liye toh badi se badi beemaari bhi bann jaati hai chhoti si baat

Isliye yeh daur bhi jaayega guzar
Guruji ke ashirwaad ka zaroor hoga asar
Unkee hee sharan mein zindagi ho basar
Aur ruhaani raaste par hum hon agrasar

Samarpan kar dein Guruji ko, samarpan mein aseem shakti hai
Changa hai ki Guruji ke rangg mein rangee hui hamaari bhakti hai
Kyunki Guruji toh sarv-vyapi, sarv-gyani aur sarvshaktimaan Hain
Hamein Guruji ke roop mein miley saakshaat Bhagwaan Hain

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Na Chodo Guruji Par Vishwaas (03/31/2020)

Leave a comment