March 1, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🙏 # 742
Haseen Anjaam
Shakti aur Shiv see banaa yeh jagat bindu-naadswaroop
Aur hamaare pyaare Guruji Hain MahaShiv ka roop
Naad aur Bindu is jagat ka aadhaar Hain
Isliye Guruji hamaare paalanhaar Hain
Ve hee Hain jo hamaari niyati likh sakte Hain dobaara
Ve hee Hain jo har haal mein dete Hain hamein sahaara
Sach mein Ve dete Hain mata pita bhai bandhu ka pyaar
Bholenaath Hain Ve, sambhaal lete Hain saara sansaar
Guruji se hum darein nahin, Guruji se buss pyaar karein
Koi akla ya tark-vitark nahin, buss Unpar poora aitbaar karein
Hamaari bhi baari aayegi jahaan itnon ko Unhonei taara Hai
Hamein bhi Ve sambhaalenge jahaan itnon ka jeevan Unhonei sanvaara hai
Isliye har vele Guruji ko hum yaad karein
Shukrana kar hum Unse ye fariyaad karein
Ki Ve sadaa rakhein hamein Apni sharan mein
Taaki Unka sahaara ho hamaare janam aur maran mein
Hamaari yatra ko Unkee rehmat se haseen anjaam mil jaayega
Unkee mehar par nirbhar karti hai sampoorna srishti
Kabhi na kabhi toh moksh awashya mil jaayega
Guruvar kee rahegi jo hum par kripadrishti
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja