April 4, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 776
Kabb Takk
Kabb takk tu karega βmaiβ aur βmeraβ
Abb toh maan le ki ye sabb nahin tera
Jabb na ye atma teri, na hee tera astitva tera
Toh tera nahin hai ye βmaiβ aur βmeraβ
Maati ka putla hee toh hai tu
Mitti se aaya hai aur mitti mein hee mil jaayega
Oopar waale ke haath mein teri saanson kee doar hai
Uske bina toh tu bilkul bhi na hil paayega
Ye βmaiβ toh sach mein mahaamaari hai
Bahut hee gambhir ye beemari hai
Jis bhi insaan kee atma-shakti is beemari ke aagey haari hai
Ye bann gayee uss shaqs kee sabse badi laachaari hai
Tabhi toh Guruji kehte Hain
Is βmaiβ ko tu bilkul chod de
Achchi sangati ke sangg raha kar
Vikaaron se tu muh moad le
Kabb takk imaan ko jokhim mein daal kar
Ahankaar bhara jeevan tu jeeta rahega
Abb toh prakriti ne bhi apni mahima dikhaayee phirse
Abb bhi kya ahem ka ghoont peeta rahega?
Maan le abb toh Guruji kee baat
Aur na kar nainsaafi apne saath
Sabke shareer mitti mein mil jaayenge
Ye paap aur ye karam hee saath jaayenge
Paramatama ne bheja atma ko dharti par
Dekar kshanbhangur libaas nashwar insaan ka
Aur insaan apni βmaiβ mein yoon kho gaya
Ki bhool hee gaya ye ehsaan Bhagwaan ka!!
Ye saansein, ye tann, mann, dhan, kuch bhi toh nahin hai apna
Phir kyun dekhta rehta hai tu adhkhuli aankhon se mithya ka sapna
Agar sach mein safal karna hai ye jeevan
Toh ho lene de tu Parmatama se atma ka punar milan
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja