Azaadi Ka Adbhut Anand (04/15/2020)

April 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 787

         Azaadi Ka Adbhut Anand

Ye samay phir laut ke na aayega
Kar le simran varna bahut pachhtaayega
Kya hai yahaan tera jo tu saath lekar jaayega
Kewal Guru ka naam hee saath lekar jaa paayega

Isliye kar le Guruji ke naam kee kamaayee
Guruji ka naam hee hai ek sachchaayee
Baaki sab kuch Guru naam ke bina vyarth hai
Kewal Guru naam ka hee vajood aur arth hai

Simran hai saadhan Guruji se judey rehne ka

Simran hai sahaara har dard ko sehne ka

Simran marham hai har uss ghaav ka jo apnon ne diya hai

Simran ilaaj hai har uss marz ka jo insaan ne apni atma ko diya hai

Kyunki simran se hee atma ko milegi shakti
Simran se hee badhegi bhakti
Simran se hee hogi atma kee shuddhi
Simran se hee aayegi subuddhi

Simran hee hai yog sadhna
Simran se hee swayam ko baandhna
Kyunki yahee bandhan mukti kee oar le jaayega
Isee bandhan se azaadi ka adbhut anand aayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Azaadi Ka Adbhut Anand (04/15/2020)

Leave a comment