April 17, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 789
Yeh Vintee Kripa Kar Sweekaar Leejiye
Pyaare Guruji,
Is jahaan ke rangg manch kee katputliyaan hain hum sab
Hamaare karmon ke alaawa kuch aur hamaare vash mein nahin
Phir bhi hum mein se koi shaayad hee hoga
Jo apne karmon kee vajeh se kashmakash mein nahin
Kehna aasaan hai lekin mushkil hai karna
Lekin karam achche hon toh nahin padta hai darna
Aankhon par patti toh hamaare bandhi hai, Aapki aankhon par nahin
Phir bhi na jaane kyun hamaare karam nahin hotey sahi
Swami hamaare, itnee mohalat de dena sabko
Ki apni galatiyon kee maafi maang sakein
Jiska dil dukhaaya ya jis se jhooth kahaa humne
Usey sach kehne kee himmat rakh sakein
Maafi maang bhi lein aur maaf bhi kar dein
Apne karmon ka zimma swayam par le lein
Kya maalum kab yahaan se chal padne kee ghadi aa jaaye
Tabb shaayad koi apna kareeb na aa paaye
Bakshiye aise ki jagg se jaane se pehle
Paapon ka praayashchit yaheen par ho jaaye
Karmon ka bhaar halka ho
Jabb yahaan se jaane kee bela aaye
Aap toh itne dayaalu Hain
Jo Apne charnon mein jageh dee hai Aapne
Inhee charnon mein raahat paayi hai
Hamaare har dukh aur santaap ne
Anginat upkaar hain Aapke hum sab par
Kar ek aur upkaar deejiye
Inhee charnon mein rehne dena hamein
Yeh vintee kripa kar sweekaar leejiye
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja