April 22, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 794
Kar Le Tu Naam Kee Bandagi
Na koi mol hai paison ka
Na heere moti ka hai kaam
Guruji ko rijhaana hai
Toh kaam ka hai keval Guru naam
Naam ka hee vajood hai
Naam ko jap le bande
Duniya toh maya ka mela hai
Chalte rahenge duniyawi dhande
Achcha insaan ban ne kee
Prerna milegi Guru naam se
Antarmann ekaagrachitt hoga
Saakshaatkaar hoga Guru dham se
Antarmann mein jo andhera hai
Veh Guru naam se hoga duur
Jo ahem insaan mein koot koot kar bhara hai
Guru naam hee kar sakta hai usey chuur
Isliye Guru naam kee jyot jalaa le mann mein
Roshni aa jaayegi jeevan mein
Naam se hogi badhauti asal dhan mein
Ruhaani shakti aayegi spandan mein
Naam hee sabse pehle thaa
Naam hee sabke baad bhi reh jaayega
Kar le tu naam kee bandagi
Varna antt vele bahut pachhtaayega
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja