Guru Kripa (04/23/2020)

April 23, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 795

               Guru Kripa

Guru kripa bin buddhi na aaye
Guru kripa bin moh maya sataaye
Guru kripa bin sansaar bojh laage
Guru kripa bin praani hon abhaagey

Guru kripa bin dil ho jaaye bechayn
Guru kripa bin hon andhere mein nayn
Guru kripa bin mann kee mayl na dhul paaye
Guru kripa bin jeevan mein vikaar ghul jaaye

Guru kripa bin sab rishtey bhi sataayein
Guru kripa bin duniya ke chakkar uljhaayein
Guru kripa bin sukoon na miley kaheen
Guru kripa bin ajnabi lagey ye aasmaan aur ye zameen

Guru kripa bin mann mandir kee jyot na jaley
Guru kripa bin koi kaaraj na phaley
Guru kripa bin kaise shudh hon vichaar
Guru kripa bin sab hai bekaar

Guru kripa se aantrik sukh ka suman khiley
Guru kripa se antaratma ko shanti miley
Guru kripa se tarr jaaye mann
Guru kripa se safal ho jeevan

Guru kripa se shikaayat shukrana mein badal jaaye
Guru kripa se kumm mein bhi tripti zyada aaye
Guru kripa se Guru naam laagey sabse anmol gehna
Guru kripa se dil chaahe Guru naam mein sadaa magn rehna

Guru kripa se pavitra ho jaaye shwaas
Guru kripa se dridh ho atma vishwaas
Guru kripa se hee paap dhulein
Guru kripa se hee Govind milein

Isliye Guru kripa kee aas tu kar le
Guru ko paane ka prayaas tu kar le
Guru naam japne ka abhyaas tu kar le
Guru naam jap kar Guru kripa se jholi bhar le

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Kripa (04/23/2020)

Leave a comment