Shanti, Shuddhi, Sampannataa (04/30/2020)

April 30, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 802

    Shanti, Shuddhi, Sampannataa

Paisa, dhan, aishon aaraam
Sab yaheen reh jaana hai
Kuch bhi toh saath nahin jaana
Jabb antt vela aana hai

Yeh zindagi toh darasal mithya hai
Mrityu hai par satya
Isliye maut se darna chod dein
Kyunki maut hee hai tathya

Har din hum behtar insaan banein
Apni kamzoriyon par kaam karein
Taaki bhavishya mein purani galatiyon ko na doharayein
Aur har din vikaaron se duur honei kee koshish karte jaayein

Yeh bhi ek safar hai, isliye samay se hee tayy hoga
Lekin Guruji hamaare sangg Hain, isliye na koi bhayy hoga
Hum kya anuchit soch ya kar rahein hain, hamaari chetna ko hai khabar
Aur har soch aur karam ka ho raha hai hamaare bhavishya par asar

Apna nijee safar hai ye har insaan ka
Lekin sab ko ashish mila hai Bhagwaan ka
Sabko alagg alagg samay par manzil milegi
Karmanusaar niyati kee chakri phiregi

Uddhaar kee disha mein phir jaaye toh hai achchaa
Lekin uskey liye bann na hoga changaa aur sachchaa
Neki kee oar liya har kadam safar ko chhota banaa sakta hai
Aur mukti kee manzil par thoda sheeghr pahuncha sakta hai

Apni taraf se kar lein prayatna
Ki swayam mein sudhaar laayein har din
Lekin yeh mumkin nahin
Niswaarthtaa aur shradha ke bin

Isliye Shukrana ke saath guzarish karein
Ki Guruji hamaare paap harein
Aur jo buddhi aur jaagriti Ve Hain de rahey
Hum uske dwara apni yatra poori karein

Hamaari neeyat aur koshish ko Guruji pehchanate Hain
Kitne nishkapat aur nekneeyat hain hum, Ve bhali bhanti jaante Hain
Hamaara behtar insaan bann na Guruji ko dega prassannataa
Aur hamein milegi shanti, shuddhi, aur sampannataa

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shanti, Shuddhi, Sampannataa (04/30/2020)

1 thought on “Shanti, Shuddhi, Sampannataa (04/30/2020)”

Leave a comment