May 11, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 813
Saadho Saadho Guruji Ka Naam
Saadho saadho Guruji ka naam
Sukhdayee hai Guruji ka dhaam
Lete chaloge jo Guruji ka naam
Toh zaroor pahunchoge Guruji ke dhaam
Ye zaroori nahin ki aasaan hoga raasta
Mushkilein aane kee kaafi hai sambhaavna
Kyunki Guruji karam katvaate Hain hamaare
Isliye shradha aur saboori kee rakhein hum bhaavna
Raaste mein jo mushkilein aayengi
Guruji kee mehar se hal hoti jaayengi
Jab takk hogi dil mein bhakti aur chetna
Tabb takk Unkee har leela hogi ek prerna
Prerna vishwaas badhaane kee
Prerna chalte jaane kee
Prerna na dagmagaane kee
Prerna Guruji ko paane kee
Guruji ke ashirwaad bhare saath se
Raasta tayy hota chalega
Guruji ke naam ka amrit
Hamaare paapon ko dhota chalega
Antt mein dhaam takk pahunchne ke liye
Zaroori hain jalaane niswaarth prem ke diye
Vikaaron ko kabhi na kabhi toh tyaagna hoga
Jitnee jaldi ho sakey unse duur bhaagna hoga
Kyunki sansaar toh bewakoof bann sakta hai jhoothe dikhaawe se
Lekin Guruji har soch jaante Hain hamaari
Unke dhaam mein bholapan aur kharaapan kaam aata hai
Unkee kripa ho toh hee bhakt Unke dhaam jaa paata hai
Isliye kyun na hum koshish karein
Guruji kee chaahat anusaar swayam ko banaane kee
Aur Guruji se ardaas karein
Unke param paavan dhaam mein pravesh kee agya paane kee
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja