May 12, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 814
Jaag Re Mannva, Jaag Tu
Jaag re mannva, jaag tu
Simran kar ke apni mai ko tyaag tu
Na lagne de apni atma par daag tu
Gaata chal Guru mahima ka raag tu
Kitna samay yoon hee beet gaya
Gehri nidra mein agyaan kee
Abb bhi nahin jaaga tu
Toh kaise dekhega subah gyaan kee?
Guruji ko maanta hai tu Bhagwaan
Toh phir kyun nahin Unkee tu sunta hai?
Kyun baahari aakarshanon ka jaal
Apne liye naadaani mein tu bunta hai?
Simran ka har vela
Tere liye hoga bahut hee suhela
Guruji sadaa tere sangg Hain
Tu nahin hai kabhi bhi akela
Unkee chhavi hai tere bheetar
Is baat se tu inkaar na kar
Jo dikhaawe kee dhundh tujh par chadhi hai
Usey ponchhne mein tu vilambh na kar
Jabb tera aantrik astitva hoga saaf
Toh Guruji bhi tujhe kar denge maaf
Teri sachchaayee Guruji ko lagaegi pyaari
Samjhega tu ki vyarth hai ye duniyaadaari
Bada hee sukh hai simran mein
Ye gyan bhar deta hai jeevan mein
Guruji kee kripa barsey aur tu uss gyan par karey amal
Taaki tere bheetar bhi khil jaaye kharepann aur komaltaa ka kamal
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja