May 17, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 819
Simran Bhi Aapka, Manan Bhi Aapka
Pyaare Guruji,
Simran bhi Aapka, manan bhi Aapka
Taareef bhi Aapki, shravan bhi Aapka
Charcha bhi Aapka, smaran bhi Aapka
Kavita bhi Aapki, bhajan bhi Aapka
Sur bhi Aap Hain, geet bhi Aap
Layy bhi Aap Hain, sangeet bhi Aap
Sadaa sangg rehne waale meet bhi Aap
Raahon ko roshan karne wali ruhaani preet bhi Aap
Sir par sadaa rehne waala ashirwaad ka haath Aapka
Kabhi na chhootne waala suhaana snehmayee saath bhi Aapka
Naath bhi Aap, Trilokinath bhi Aap
Bhole Bhandari bhi Aap, Bholenath bhi Aap
Haathon kee har lakeer mein Aap
Har gareeb aur har ameer mein Aap
Raja mein Aap aur fakeer mein bhi Aap
Murshid bhi Aap aur wazeer bhi Aap
Bhaktjann kee chetna aur zameer bhi Aap
Antaratma kee divya tasveer bhi Aap
Kaayinaat ko kaayam rakhne kee nek tadbeer bhi Aap
Abb toh Apne har shaagird kee taqdeer bhi Aap
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
Simran Bhi Aapka, Manan Bhi Aapka (05/17/2020)