May 18, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»# 820
Dekho Ji Dekho Bhakton
Ashirwaad ke aasmaan ko
Kalyaan ke kandhon par uthaaye
Pita ke paawan pyaar ko
Nainon kee nirmaltaa mein basaaye
Dekho ji dekho bhakton
Pyaare Guruji Hain aaye
Mata kee mamta ko
Apne dil kee divyataa mein liye
Kshamaasheelta kee kshamta ko
Vinamrataa kee vadiyaayee mein liye
Dekho ji dekho bhakton
Guruji ne jalaaye raahon mein diye
Simran ke saagar ko
Neevenpann kee naiya mein samaakar
Anubhavon ke aseeson ko
Satsangon ke saawaan mein basaakar
Dekho ji dekho bhakton
Guruji ne diye hamein tohfe laakar
Aakarshanon ke aadambar mein
Dhyan ka teerath dham dikhaane
Kalyuga ke kohre mein
Satyuga ke satya ka paath padhaane
Dekho ji dekho bhakton
Guruji aaye Hain hamaare vikaar hataane
Gyan kee Ganga ko dhaaran kar ke
Anuchit aacharan hamaari atma ka mitaane
Andhvishwaas ke andhere ko haraakar
Ruhaaniyat ke rahasyamayee raaz bataane
Dekho ji dekho bhakton
Guruji aaye Hain hamein sachkhand le jaane
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Dekho Ji Dekho Bhakton (05/18/2020)