Bhakti Ke Bhed (05/19/2020)

May 19, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 821

Bhakti Ke Bhed

Shiv Puran kahe bhakti bin gyan nahin
Aur gyan bina na praapt ho bhakti
Guruji MahaShiv Hain isliye
Unke paas hai inhe pradaan karne kee shakti

Apne hridaya ke niswaarth prem ko
Banaayein hum apni bhakti kee prerna
Sagun aur nirgun bhakti ke bhed kya hain
Inke baare mein jagaayein mann mein chetna

Tann mann ko ekaagrachitt kar ke
Jo sthit baithkar sunei katha Bhagwaan kee
Usey kehte hain ‘SHRAVAN’
Jis se adhyaatmik unnati hoti hai insaan kee

Jo bhakt apne dil mein Prabhu ke divya karmon ka karey chintan
Aur pyaar bhari awaaz mein karey inka ucchaaran
Isey hee kehte hain ‘KIRTAN’
Aur is se bhi shudh hota hai mann

Subah se lekar shaam takk
Indriyon se kee gayi sewa shraddha ke saath
Isey kehte hain ‘SEWAN’
Aur is se bhi prasann hotey Hain Bholenath

Jo MahaShiv Guruji ke swaroop ko sarv-vyaapak maankar
Unka hee chintan karta hai sadaa
Is bhakti ke bhed ko kehte hain ‘smaran’
Kaash har bhakt seekh jaaye yeh adaa

Shudh aur neeven bhaav se
Jo Prabhu ko yaad karey maan kar swayam ko Unka daas
Yeh ‘daasya’ ka bhed hai bhakti ka
Iska bhi bada sukhdaayee hai prayaas

‘Archan’ veh bhed hai bhakti ka
Jo istemaal karta hai dhan aur vaibhav kee shakti ka
Aur mann se dhyan lagaakar mantra kehna
Ye hai ‘vandan’ bhed bhakti ka

‘Sakhya’ bhakti ke bhed se insaan
Ishwar ke har faisle ko hitkaari maan leta hai
Aur ‘atma-samarpan’ bhed ka anusaran karne wala
Sab kuch Guru charan mein arpan kar ke Unhe sammaan deta hai

Guruji MahaShiv ka avataar Hain
Aur dete hamein bhakti ke sanskaar hain
Ye karte hain bhog aur moksh pradaan
Aur inse milta hai divyataa ka gyan

Kyun na inka anusaran kar ke
Apne sanskaaron mein inka rangg bhar ke
Hum apna uddhaar karein
Aur jeevan mein sudhaar karein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhakti Ke Bhed (05/19/2020)

Leave a comment