Yahaan Abb Mann Lagta Nahin (05/24/2020)

May 24, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 826

     Yahaan Abb Mann Lagta Nahin

Yahaan abb mann lagta nahin
Abb toh jee chaahta jaaoon vaheen
Jahaan hawaa mein niswaarthta kee mehek ho
Jahaan azaad parindon kee nirantar nidar chehek ho

Jahaan insaan insaan se prem karey
Jahaan vinamrataa se sabka aanchal bharey
Jahaan jhooth fareb na ho logon kee baat mein
Jahaan darr na ho din mein ya raat mein

Jahaan har oar ho Guru prem kee layy
Jahaan Guruji kee mahima ke prati na ho koi sanshay
Jahaan Guruji se sab niswaarth pyaar karein
Aur doojon ke darr kee vajeh se Guruji se na darein

Jahaan Guruji kee hoti rahei vadiyaayee
Jahaan buss Unkee hee mahima de sunaayee
Jahaan asatya ka ho jaaye pardaafaash
Jahaan satya se goonje dharti aur akash

Jahaan har asahaay ko mil jaaye sahaara
Jahaan koi bhi na rahei bechaara
Jahaan chayyn miley dukh aur santaap ko
Jahaan badhaava na miley paap ko

Jahaan pavitrataa kee kadar ho sadaa
Jahaan neevenpann kee sab mein ho adaa
Jahaan mann kee khoobsoorati mainey rakhey, dikhaawa nahin
Jahaan Bhagwaan ko shraddha aur prem diya jaaye, laukik chadhaava nahin

Shaayad yeh beeta hua satyuga hai
Lekin Guruji kee mehar se yeh laut kar aayega
Yahee ummeed ki jo aaj ka kalyuga hai
Ye vishay vikaar ko saath lekar jaayega

Janam hoga satyuga ka yaheen
Toh shaayad kaheen aur nahin jaane kee hogi zaroorat
Intazaar hai abb toh
Ki kab aayega yeh shubh mahoorat

Waqt kar de haseen vaada
Ki saari nakaaratmakta ko bahaa paayega
Guruji angg sangg Hain
Isliye yakeenan veh suhaana samaa aayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yahaan Abb Mann Lagta Nahin (05/24/2020)

Leave a comment