Raat hai suhaani, chamak rahe hain taare, Sach mein taare hain itne saare, Guruji ka salona saath hai, Waah, kya baat, kya baat, kya baat hai.
Jheel ka sheetal aur shaant paani, Naiya mein beet rahi hai zindagaani, Khiwaiya Hain Guruji pyaare, Hum hain buss Unhee ke sahaare.
Ruhaani rangg hai vaataavaran mein, Sangat hai Guruji kee sharan mein, Suraksha aur masti dono saath mein hain, Patvaar Guruji ke haath mein hai.
Le jaayiye Guruji, naiya ko uss kinaare, Jahaan hamaari manzil ho Aapke dwaare, Phir vahaan se kabhi na karna hamein beghar, Kyunki hamaari har saans nirbhar hai Aapke sahaare par.
Rabb ka haath hai jabb sir par, Phir abb kisliye koi bhi darr, Chaahe Aap Hain agam agochar, Aap hamaare saath Hongei saari umar.
Is tathya ke sahaare hum safar karte rahein, Raaste mein Guruji kee daat se jholi bharte rahein, Kitnee khushi milegi jabb divya kinaara aayega, Sach mein is safar mein nirmal anand aayega.
Kya maalum kal is samay, Hum mein se kaun zinda hoga kaun nahin, Isliye kyun nahin aaj hee, aur abhi hee, Apni soch aur karam ko kar lein sahi.
Soch bhi toh karam hee hai, jo chanchal mann mein rehti hai, Galat ya sahi karam karne ke liye yeh soch hee toh humse kehti hai, Ye matvaala mayavee mann hamein majboor karta hai, Aur baad mein hamein bhugtaan karna padta hai.
Guruji tabhi toh kehte hain sewa, simran, satsang karne ke liye, Ve samjhaate Hain ki ye zaroori hain swayam mein neevanpann bharne ke liye, Inhee kee badaulat mann ko hum kar sakte hain kaabu, Taaki mann na chalaaye hum par maya ka jaadu.
Aaj ya kal jabb hum yahaan se chale jaayenge, Guruji ke sachche anusaran se tabb takk kaarmic bhugtaan toh kar paayenge. Poora na sahi, thoda bhi kar lein, Taaki bahut baar dobara janam na lein.
Sabki alag yaatra hai ye, sabke bhinn hain karam, Lekin yeh sab alag alag hotey huey bhi ek hai hamaara insaaniyat ka dharam. Jo jitnee nishthaa se is dharam ko nibhaayega, Uske karmon ka bhaar yaheen par kumm ho jaayega.
Guruji jab uss shaqs ko uss paar lekar jaayenge, Toh kumm bojh kee vajeh se jaldi uddhaar kar paayenge. Isliye kya faisla lena hai, yeh hum par nirbhar karta hai, Kyunki jo jaisa karta hai, kabhi na kabhi toh vo vaisa hee bharta hai.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
Jo Jaisa Karta Hai, Vo Vaisa Hee Bharta Hai (06/28/2020)
Guruji se hai yeh vinamr guzaarish, Ki har praant par ho Unkee kripa kee baarish, Bheeg jaaye Srishti Unke ashish ke amrit roopi jal se, Taaki koi bhi jeev na darey aane waale kal se.
Aane waala kal toh nirdhaarit samay par aayega, Kaheen khushi, toh kaheen gumm laayega, Koi yahaan rahega, aur koi yahaan se chala jaayega, Guruji ka ashirwaad is paar aur uss paar saath jaayega.
Honi ko toh kewal Guruji hee taal sakte Hain, Unhee kee leela se hee taandavi tufaan rukte hain, MahaShiv Hain Ve, zaroor dikhaayenge Ve Apna prataap, Waqt bhi Unka hukm maanta hai, toh kya hain mai aur aap?
Anhoni ko bhi Guruji honi mein sakte Hain badal, Unhee kee kripa se hota hai har kaaraj safal, Vo tarr jaata hai, jispar Guruji kee ho jaati hai nadar, Poore sansaar ko taar deejiye Guruji, dekar Apni mehare nazar.
Dil mein thei itne armaan, Ki dikh jaayein dharti par Bhagwaan, Guruji ne mehar kee aur darshan de diye, Mere armaan itne pyaar se poore kar kiye.
Jab se mann mein jaagi muraad, Ki Guruji ke simran kee miley saugat, Toh Gurbani aur satsang kee bakshi Unhonei daat, Jis se poori hui yeh fariyaad.
Jab se chaaha Guruji ke sangg jodna bandhan, Toh Unhonei karne diya apna sewa poorvak vandan, Sunn lee Unhonei meri pukaar, Aur diya mujhe bahut pyaar.
Jab se dil mein jaagi tamanna, Ki Unke charnon kee dhool hai bann na, Shukr hai, Unhonei qubool kar liya, Varna mushkil ho jaata jeena aur marna.
Jab se Guruji kee mahima ka bakhaan karne ko dil tarsaa, Toh Unka ashirwaad suvichaaron ke roop mein barsaa, Unkee mahima ka mai kar paayee gungaan, Jis se poora hua mera yeh armaan.
Ab toh mann mein hai yeh abhilaasha, Ki duur ho jaaye jagg kee niraasha, Aur khatm ho kalyuga ka tamaasha, Sansaar se jud jaaye satyuga kee paribhaasha.
Mann ko kaabu mein kar lein hum praani, Beetee jaa rahi hai zindagaani. Guruji maaf kar dete Hain hamaari har naadaani, Lekin hamein apne bheetar zaroori hai chetna jagaani.
Nahin toh aagey kaise badhenge, Insaaniyat se divyataa kee oar? Kya maalum kaunsa aakarshan aa jaaye, Jo hamein waapis laukikta kee taraf de moad?
Iska ilaaj Guruji ne hum sabko diya hai, Uska uddhaar hua hai jisne veh ilaaj kiya hai. Uss ilaaj se kitne bhakt aagey hain badh paaye, Aao hum bhi kar lein ilaaj, taaki hamaari bhi baari aa jaaye.
Veh leelamayee ilaaj hai simran, Jis se kaabu mein aata hai mann. Yeh ek baar mein toh nahin hai hota, Kyunki mann dheeraj jaldi hai khotaa.
Isliye simran baar baar karna zaroori hai, Divyataa aur insaan ke beech kee mitaata yeh duuri hai. Simran ke bina zindagi adhoori hai, Simran se hee atma kee tripti poori hai.
Isliye ab aur der na karein hum, Aao simran kar lein aur bhool jaayein har gumm, Vaise kya paapon ka bojh hai kumm, Jo simran kiye bina hum toad dein dumm?
Kalyuga ke is samay mein, Simran aur paath hee hamein bachaayega, Guruji ne chetavaani dee hai, Jo maanega, ummeed hai veh bach paayega.
Pehle doojon ke liye phir hee khud ke liye, Aayiye, Guruji se maangein hum dil se dua, Jisne doojon ka sadaa bhalaa chaaha, Unka aaj nahin toh kal uddhaar zaroor hua.
Streeling aur pulling oorja mil kar banaayein, Srishti kee har rachna kee buniyaad, Shakti aur Shiv ke mel-jol se, Duniya kee hui shuruaat.
Teen lafzon se banaa hai shabd Ardhnareeshwar, Ardh ka matlab aadha, Naari ka matlab stri, Ishwar ka arth Bhagwaan, Yahee hai veh rachnaatamak shakti, Jo karti hai sabka kalyaan.
Saari duniya poojey Shiv Shakti ko, Chaahe jis bhi roop mein, Mujhe toh dono nazar aate hain, Guruji ke Swaroop mein.
Guruji hee Hain MahaShiv, Unse bada na koye, Jaagrit hoja Guruji kee sharan mein, Kyun ab takk tu soye?
Guruji karte Hain beda paar, Guruji karte Hain sabse pyaar, Guruji ko saump de jeevan apna, Ab aur na kar tu intazaar.
Na mehel saath jaayenge, Na saath jaayenge heere, Uss dharti mein samaa jaayega tu, Jispar rengte hain keede.
Ab khud hee tu soch le, Ki kya hai teri aukat? Jo bhi sukh dukh milta hai tujhe, Veh hai Guruji kee oar se khairat.
Teri har saans hai tujh par Unkee dayaa, Varna tu toh kab ka thaa yahaan se gaya. Tujhe jeevan diya hai, itne kripaalu hain Guruji, Tera bhalaa kiya hai, itne dayaalu hain Guruji.
Isliye neevan hokar chal, Taaki divyataa ka miley tujhe phal, Jhooth aur jhamelon se seekh le rehna duur, Chhaane de apne roam roam par Guruji ka noor.
Kyunki neevenpann mein hee nikhrega noor, Neevenpann se hee ghamand hoga choor, Dhul jaayega neevenpann se tera guroor, Har tarehn ka ahem ho jaayega duur.
Tujhe mehsoos hoga ki halka hoga atma ka bojh, Sudharne lagegi har drishtikon se teri soch, Baaki vikaaron ko chodna bhi ho jaayega aasaan, Kyunki hameshaan ke jaise teri madad karenge tere Guru, tere Bhagwaan.
Ab faisla toh tujhe hee karna padega, Karam tere hain par Guru sahaayata zaroor karega. Teri oar se nek neeyat kee zaroorat hai, Har pal sudhaar ke liye shubh mahoorat hai.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
June 22, 2020
Om Namaha Shivaya Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 855
Kya Hai Teri Aukat
Na mehel saath jaayenge, Na saath jaayenge heere, Uss dharti mein samaa jaayega tu, Jispar rengte hain keede.
Ab khud hee tu soch le, Ki kya hai teri aukat? Jo bhi sukh dukh milta hai tujhe, Veh hai Guruji kee oar se khairat.
Teri har saans hai tujh par Unkee dayaa, Varna tu toh kab ka thaa yahaan se gaya. Tujhe jeevan diya hai, itne kripaalu hain Guruji, Tera bhalaa kiya hai, itne dayaalu hain Guruji.
Isliye neevan hokar chal, Taaki divyataa ka miley tujhe phal, Jhooth aur jhamelon se seekh le rehna duur, Chhaane de apne roam roam par Guruji ka noor.
Kyunki neevenpann mein hee nikhrega noor, Neevenpann se hee ghamand hoga choor, Dhul jaayega neevenpann se tera guroor, Har tarehn ka ahem ho jaayega duur.
Tujhe mehsoos hoga ki halka hoga atma ka bojh, Sudharne lagegi har drishtikon se teri soch, Baaki vikaaron ko chodna bhi ho jaayega aasaan, Kyunki hameshaan ke jaise teri madad karenge tere Guru, tere Bhagwaan.
Ab faisla toh tujhe hee karna padega, Karam tere hain par Guru sahaayata zaroor karega. Teri oar se nek neeyat kee zaroorat hai, Har pal sudhaar ke liye shubh mahoorat hai.