Yeh Saal aur Hamaari Nazar (06/03/2020)

June 3, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 836

         Yeh Saal aur Hamaari Nazar

Yeh saal hai 2020
Nipun nazar bhi hoti hai 20/20
Kyun na Guruji kee kripa se
Apni ruhaani nazar ko kar lein nafees

Chalein hum Guruji ke dikhaaye huey raaste par
Taaki nazar ke saath saath rooh bhi tarr jaaye
Abhi toh nazar kee kshamta kamzor hai
Is raaste par chalkar veh kshamta badh jaaye

Duniya aur duniyaadaari bhi nazar aane lagey saaf saaf
Aur nazar mein karuna laakar kar dein hum doojon ko maaf
Khud bhi maafi maang lein apne gunaahon kee
Safaai kar lein zindagi kee raahon kee

Nazar ko khoobsoorat banaa lein Guruji kee sadhna se
Nazar mein aur bhi neevanpann sajaa lein Unkee aradhana se
Aankhein khuli hon toh divya roshni nazar aaye
Aur bandd aankhon mein bhi divyataa hee samaaye

Duniya ka aslee chehra saaf nazar aayega
Aur Guruji kee praapti ka raasta bhi dikh jaayega
Aagey ka faisla hamein hee lena hai
Duniyadari mein phansna hai ya har shwaas simran ko dena hai

Jitna simran karenge hum
Ruhaani nazar aur bhi paripoorna hogi
Guruji kee aseem kripa aur hamaari nek neeyat se
Guru praapti kee ichchaa poorna hogi

Har pal swayam mein koi shiksha lekar aata hai
Na seekhein tabb toh veh pal guzar jaata hai
2020 toh samay hai ek poore saal ka
Shaayad ismein ho jawaab hamaare kisee sawaal ka

Isliye 2020 ko na samjhein kewal beet jaane wala varsh
Balki is se apni nazar sarvottam kar ke anubhav kar lein harsh
Aur nipun nazar se apna drishtikoan nek kar lein
Apne ruhaani naynon mein divyataa ka nishkalank noor bhar lein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yeh Saal aur Hamaari Nazar (06/03/2020)

Leave a comment