Chaahe Abb Kuch Bhi Ho Jaaye (06/09/2020)

June 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 842

Chaahe Abb Kuch Bhi Ho Jaaye

Bharosa na chod Guruji par
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye
Chod de sab kuch Guruji par
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Aandhi aur tufaan ka bhi antt hota hai zaroor
Jo tere sangg anyaay kar rahe hain, Guruji utaarenge unka bhi fitoor
Tu buss shraddha aur saboori rakh
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Yeh shaano shauqat, yeh yash aur aisho aaraam
Ye sab hain hamaari zindagi mein mehmaan
Inse mohabbat na kar baithna tu
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Tu yahaan aaya hai toh yahaan se jaayega bhi zaroor
Atithi bann kar rehna, na kar lena guroor
Haalaat ke haath mein na hona majboor
Chaahe abb kuch bhi jaaye

Kuch bahut achchaa ho jaaye jo, toh ahem ke nashe mein na aana
Har sikke ke do pehlu hotey hain, yeh tu bhool na jaana
Apni asthaayee aukat yaad rakhna
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Guruji ne sabke asli chehre tujhe dikhaaye
Kalyuga ke khatte-meethe tathya tujhe samjhaaye
Isliye abb mithya mein na doal tu
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Buraayee se muh tu modna
Simran aur sewa kabhi na chodna
Satya ka sangg karna sadaa
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Sarvsamarpan mein hee mann kee shanti hai
Tere jeevan ko roshan kar rahi Guruji kee kanti hai
Yahee kehna har baar andhere se tu
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

Taraazu ke paldon ke toalne mein agar hera pheri hai
Yakeen rakh ki Guruji ke ek ishaare kee deri hai
Chod de chhal aur japta chal tu ‘Om Namaha Shivaya’
Chaahe abb kuch bhi ho jaaye

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chaahe Abb Kuch Bhi Ho Jaaye (06/09/2020)

Leave a comment