June 12, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 845
Aapki Mahima Gaate Gaate
Bharosa mera banaa rahe bhakti mein,
Simran kee pakki neev ho atma kee shakti mein,
Sadaa banaa rahe Aapka ashirwaad, Guruji,
Yahee hoga mere liye sabse uttam prasad, Guruji.
Samajh nahin aa raha thaa mujhe,
Ki kaun hoon mai aur yahaan aane ka maqsad kya hai mera,
Jabb Aapne aakar disha dikhaayee,
Toh kiya mere jeevan mein savera.
Haath thaama Aapne mera,
Aur pyaar se mujhe chalaaya.
Socha jabb uss pal ka mainey,
Toh mera dil bhar aaya.
Jabb se yaad aata hai mujhe,
Kitnee moortiyon kee mainey kee pooja,
Lekin jabb se Aap miley Hain,
Mann mandir mein na koi Bhagwaan hai dooja.
Kyunki Aapne kaha ki Aap MahaShiv Hain,
Toh phir kaheen aur kyun mai jaaoon?
Aapke kamal charan ko chhookar,
Brahmaand ke darshan mai paaoon.
Abb jo Aapne mujhe Apni sharan mein liya hai,
Toh aise mere antar-mann mein basna,
Ki Aapki mahima gaate gaate,
Kabhi na thakey meri rasna.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja