June 23, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar # 856
Ardhnaareeshwar Mahashiv
Streeling aur pulling oorja mil kar banaayein,
Srishti kee har rachna kee buniyaad,
Shakti aur Shiv ke mel-jol se,
Duniya kee hui shuruaat.
Teen lafzon se banaa hai shabd Ardhnareeshwar,
Ardh ka matlab aadha, Naari ka matlab stri, Ishwar ka arth Bhagwaan,
Yahee hai veh rachnaatamak shakti,
Jo karti hai sabka kalyaan.
Saari duniya poojey Shiv Shakti ko,
Chaahe jis bhi roop mein,
Mujhe toh dono nazar aate hain,
Guruji ke Swaroop mein.
Guruji hee Hain MahaShiv,
Unse bada na koye,
Jaagrit hoja Guruji kee sharan mein,
Kyun ab takk tu soye?
Guruji karte Hain beda paar,
Guruji karte Hain sabse pyaar,
Guruji ko saump de jeevan apna,
Ab aur na kar tu intazaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja