June 28, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 861
Jo Jaisa Karta Hai, Vo Vaisa Hee Bharta Hai
Kya maalum kal is samay,
Hum mein se kaun zinda hoga kaun nahin,
Isliye kyun nahin aaj hee, aur abhi hee,
Apni soch aur karam ko kar lein sahi.
Soch bhi toh karam hee hai, jo chanchal mann mein rehti hai,
Galat ya sahi karam karne ke liye yeh soch hee toh humse kehti hai,
Ye matvaala mayavee mann hamein majboor karta hai,
Aur baad mein hamein bhugtaan karna padta hai.
Guruji tabhi toh kehte hain sewa, simran, satsang karne ke liye,
Ve samjhaate Hain ki ye zaroori hain swayam mein neevanpann bharne ke liye,
Inhee kee badaulat mann ko hum kar sakte hain kaabu,
Taaki mann na chalaaye hum par maya ka jaadu.
Aaj ya kal jabb hum yahaan se chale jaayenge,
Guruji ke sachche anusaran se tabb takk kaarmic bhugtaan toh kar paayenge.
Poora na sahi, thoda bhi kar lein,
Taaki bahut baar dobara janam na lein.
Sabki alag yaatra hai ye, sabke bhinn hain karam,
Lekin yeh sab alag alag hotey huey bhi ek hai hamaara insaaniyat ka dharam.
Jo jitnee nishthaa se is dharam ko nibhaayega,
Uske karmon ka bhaar yaheen par kumm ho jaayega.
Guruji jab uss shaqs ko uss paar lekar jaayenge,
Toh kumm bojh kee vajeh se jaldi uddhaar kar paayenge.
Isliye kya faisla lena hai, yeh hum par nirbhar karta hai,
Kyunki jo jaisa karta hai, kabhi na kabhi toh vo vaisa hee bharta hai.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja