July 4, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 867
Guruji Hain Zindagi
Guruji Hain zindagi,
Guruji Hain bandagi,
Guruji Hain divyataa,
Guruji Hain vidvataa.
Guruji Hain niswaarth prassanntaa mein,
Guruji Hain ruhaani sampannta mein,
Guruji Hain sachchaayee mein,
Guruji Hain achchaayee mein,
Guruji Hain divya preet mein,
Guruji har paawan geet mein,
Guruji hee simran mein,
Guruji hee manan mein.
Guruji bhakt kee ardaas mein,
Guruji bhakt kee aas mein,
Guruji Hain pooja,
Guruji jaisa koi na dooja.
Guruji se hai har bhakt kee muskaan,
Guruji laate Hain ruhaaniyat ka paigaam,
Guruji saath Hain dukh mein,
Guruji saath Hain sukh mein.
Guruji Hain saadepan mein,
Guruji Hain neevenpann mein,
Guruji ke ashish se hota kalyaan,
Guruji hee jaan Hain, Guruji hee Hain jahaan.
Guruji Hain hum sab mein,
Guruji toh kaayinaat ke Rabb Hain,
Guruji Apne Hain, baaki saara jagg hai begaana,
Guruji ka karein hum har pal shukrana.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja