July 5, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 868
Gurupurnima Ka Parv
Jin Guruji mein Brahma, Vishnu, Mahesh samaaye,
Ve pooran Guru hamaari zindagi mein aaye,
Jis jis ko Unhonei hai sweekaara,
Har uss bhakt ko Unhonei hai tara.
Gurupurnima ka ruhaani parv hai aaya,
Sab Guru bhakton ke mann mein ullaas hai laaya,
Aao, sab karein pyaare Guruji ko naman,
Aur karein Unka shraddhapoorvak manan.
Utsav keh lo isey, ya ek ruhaani reet,
Iska aadhaar hai Guru ke prati aadar aur preet.
Guru aur abhigya murshid ko samarpit hai is din ka mahaatmay,
Jinhonei sangat ko raah dikhaayee bina kisee sanshay.
Guruji kee sharan mein aakar yakeenan,
Jeevan mein kalyaankaari phool khilein hain,
Hamaare pyaare Guruji mein,
Hamein toh pooran Guru miley Hain.
Guru se hee milta hai adhyatmik gyan,
Kalyaankaari hota hai japna Guru ka naam,
Jeevan mein roshni nahin hoti Guru ke bin,
Sach mein bahut mahatvapoorna hai Gurupurnima ka din.
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja