Paawan Paudha (07/21/2020)

July 21, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 884

               Paawan Paudha

Baat ho rahi hai yahaan aise raaste kee,
Jispar safar ka maqsad hai ruhaaniyat,
Jispar nahin hona chahiye koi dhong,
Jispar chalte huey nibhaani hai insaaniyat.

Yeh Guruji ka dikhaaya hua raasta hai,
Tujhe yahaan tere zameer ka vaasta hai,
Harshit hona Guruji ke deedar se,
Is par chalna tu niswaarth pyaar se.

Pyaar aisa, jo ho shart rahit,
Bhaav aisa, jo ho shraddha sahit,
Aisa prem ho Guruji ke sangg,
Toh nikhar jaayega zaroor bhakti ka rangg.

Guruji ka dikhaaaya hua raasta,
Yahaan hai saralta aur satsang ka vaasta,
Koi chaalaaki nahin, na hee koi sauda,
Guru-shishya ka rishta toh hai ek paawan paudha.

Jisey seenchna hai sewa, simran, aur bhakti se,
Jisey sweekaarna hai atma kee tripti se,
Jisey khiley rehne ke liye karna hai har pal shukrana,
Jiskee mitti mein sarvsamarpan ko hai samaana.

Jab kukarmon kee garmi se yeh sookhne lagey,
Toh is paudhe ko pashchatap kee sheetalta deni hai zaroori,
Taaki yeh pyaayashchitt kee neeveen daaliyon par,
Sajaa le vinamrataa aur saboori.

Dekhte hee dekhte, is paawan paudhe par lagenge achche karmon ke phool,
Jinse utpann hongei meethe meethe phal,
Udd jaayegi is paudhe par se maylepann kee saari dhool,
Yeh swapn zaroor sachcha hoga, aaj nahin toh kal.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Paawan Paudha (07/21/2020)

Himmat Na Tu Haar (07/20/2020)

July 20, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 883

         Himmat Na Tu Haar

Himmat na tu haar,
Guruji ko saump de saara bhaar,
Dheeraj tu har pal dhar,
Dekhna, tu jaayega tarr.

Guruji ko kar tu yaad,
Unhee se kar fariyaad,
Guruji ko sunaa apna haal,
Ve hee banenge teri dhaal.

Ve hee sambhaalenge gunehgaar ko,
Ve hee faisla karenge,
Ve hee sachchaayee ko laayenge saamne,
Ve hee jholiyaan bharenge.

Unse maang le tu maafi,
Ve kabhi na karenge na-insaafi,
Guruji ke bharose chal,
Tere kasht jaayenge tal.

Jabb tere haath mein kuch hai hee nahin,
Toh Guruji par sab chodna hee hai sahi,
Maan le tu Unka kehna,
Chaahe jo bhi pade tujhe sehna.

Nibhaata jaa tu apna farz,
Kumm kar le apne karmon ka karz,
Gir jaayegi ek din adharam kee deewaar,
Guruji karenge poore sansaar ka uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Himmat Na Tu Haar (07/20/2020)

Bhalaa Hamaara (07/19/2020)

July 19, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 882

              Bhalaa Hamaara

Guruji Hain har jeev ke janmadaata,
Sampoornta srishti ke Ve Hain vidhaata,
Sangat ke bhaav ke Ve Hain gyata,
Bhakton ke Hain Ve annadaata.

Hain chaahee Ve agam agochar,
Unkee pooja hoti hai ghar ghar,
Har satsang mein Ve aate Hain,
Bhakton ke dil mein samaate Hain.

Apni leela hamein dikhaate Hain,
Apni maujoodagi ka ehsaas dilaate Hain,
Sewa aur Simran karna sikhaate Hain,
Apne naam ka amrit pilaate Hain.

Neeyat sabki Ve jaante Hain,
Sabki asliyat Ve pehchaante Hain,
Aaj ya kal zaroor karmon ka hisaab karte Hain,
Jis bhi tarehn se dekho, hamaare sankat Ve harte Hain.

Hamaara haath Ve sadaa thaame rehte Hain,
Hamaare bhale kee baat Ve hameshaan kehte Hain,
Hamaare liye itna kasht Ve sehte Hain,
Hum dukhi hon toh Unkee aankhon se bhi aansoon behte hain.

Unpar saari dharti ka hai bhaar,
Lekin hum mein se kitnon ko is baat ka hai ehsaas?
Hamein zinda rakhta hai Unka pyaar,
Unkee hee kripa se lete hain hum har shwaas.

Har ardaas ke pehle aur baad karna Unka Shukrana,
Itna farz toh hamaara bantaa hee hai nibhaana,
Shukrana se hee milta rahega sahaara,
Shukrana mein hee hai bhalaa hamaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhalaa Hamaara (07/19/2020)

Guruji, Aap Shehenshaah Hain (07/18/2020)

July 18, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 881

     Guruji, Aap Shehenshaah Hain

Pyaare Guruji,

Zehen se aaye jo zubaan par,
Ve alfaaz Aapne hee Hain diye,
Unhe likhwaaya bhi Aapne,
Unmein basey bhaav bhi Aapne Hain diye.

Aapki mehar chhalaktee hai har alfaaz mein,
Aapki kripa barastee hai har alfaaz ke andaaz mein,
Aapka pyaar samaata hai awaaz mein,
Aapka dulaar hai sur mein aur saaz mein.

Aapke hee khayaalon mein doob kar,
Mai tayrnaa seekh rahi hoon,
Varna toh kin kin tufaanon ke asar se,
Mai sookhe patton kee bhanti bahi hoon.

Murshid mere, yoon hee karte rehna mehar kee baarish,
Phir aur koi bhi na reh jaayegi khwaahish,
Aap hee Maalik Hain, Aap hee madadgaar,
Aap Shehenshaah Hain, fakeer hai ye sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji, Aap Shehenshaah Hain (07/18/2020)

Shukrana Subah Shaam (07/17/2020)

July 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 880

 Shukrana Subah Shaam

Kayee baar jeevan mein aate hain aise mukaam,
Jab milta nahin hai dil ko sukh, chayn, ya aaraam,
Aksar aisa bhi hota hai ki safar nahin lagta aasaan,
Lekin tab bhi angg sangg hotey Hain Bhagwaan.

Jis bhi roop mein aayein Bhagwaan,
Sabka Maalik hai sach mein ek,
Isliye dar dar bhatakna bekaar hai,
Jab MahaShiv ko liya hai maatha tek.

Guruji ka dar hai MahaShiv ka dar,
Brahma Vishnu Mahesh Hain is dar par,
Mahesh ke ardhnaareeshwar roop mein Mata Rani bhi Hain,
Aur Sai, Guru Nanak, Guruji ek hee Hain.

Kitnee saari sangat ko Guruji,
Yasu aur Allah ke roop mein dete Hain darshan,
Guruji ne toh is kashmakash ka samaadhaan kar diya hai,
Abb hamein saaf karna hai apne mann ka darpan.

Zindagi ke kathin samay mein bhi,
Guruji saath nahin chodenge,
Hamaari madad karne ke liye,
Kashton ka mukh bhi modenge.

Baaki jo karmon ka lekha hai,
Usey badalne mein bhi Guruji chodein na koi kasar,
Adhiktar karam swayam par lekar,
Kum karte Hain hum par hamaare hee kukarmon ka asar.

Ye aisa tathya nahin jis se hum agyaan hain,
Lekin bhool jaate hain kyunki hum mehez insaan hain.
Isliye baar baar swayam ko yaad dilaana padta hai,
Ki niyati par karmon ke asar se bhi zyada Guruji ka hukm chalta hai.

Isliye safar lagey mushkil ya aasaan,
Mehsoos ho ya na ho sukh ya aaraam,
Bhakti par na lagne dein kabhi bhi poornaviraam,
Aur Guruji ka karte chalein Shukrana subah shaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shukrana Subah Shaam (07/17/2020)

Hamaara Sachcha Prayaas (07/16/2020)

July 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 879

Hamaara Sachcha Prayaas

Maahir hai yeh mann karne mein tark- vitark,
Idhar udhar kee baaton mein ulajhne se isey nahin padta hai fark,
Lekin hamaari ruhaani yaatra par iska asar hai bahut gehra,
Isliye hamein rakhna padega apne mann par pehra.

Mann kee lagaam hai simran,
Simran hee le jaayega dhyan mein,
Simran aur dhyan bahut zaroori hai,
Taaki badhaauti ho ruhaani gyan mein.

Gurbani ke rass mein ramm kar,
Aao kar lein simran,
Guruji se seedhi taar jod kar,
Aao vash mein karein apna mann.

Dhyan mein Guruji ka karein abhinandan,
Unke divya noor par chitt ko ekaagra kar ke karein vandan,
Dhyan mein Unhee ka ho deedar,
Dhyan mein basey rahein Ve parawaradigaar.

Dheere dheere baaki sab lagne lagega bekaar,
Simran aur dhyan karne ko mann karega baar baar.
Mann ko mil jaayegi dhyan kee anmol mani,
Is sampatti se mann ho jaayega sach mein dhani.

Buss phir isee dhan kee badhne lagegi aas,
Aur Guru simran aur dhyan mein ramm jaayega har shwaas.
Hota rahega jab nirantar divya praapti ka abhyaas,
Guruji ko bhi pasand aayega hamaara yeh sachcha prayaas.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hamaara Sachcha Prayaas (07/16/2020

Bhakti Ka Imtehaan (07/15/2020)

July 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 878

        Bhakti Ka Imtehaan

Yeh bhakti ka hai imtehaan,
Jo le rahein Hain Bhagwaan,
Guruji ke roop mein aaye Hain,
Saari sangat ke mann mein samaaye Hain.

Saralta aur saadagi hai Unhe pasand,
Azmaa kar dekh leejiye, sach mein isee mein hai anand.
Niswaarth sewa aur simran ke diye hain Guruji ne sanskaar,
Jinka anusaran karne se kalyaan hoga aparampaar.

Satsang ho Unkee mahima sunn-ne aur sunaane ke liye,
Na ki logon se milne julne ka mauka,
Guruji sabki neeyat jaante aur pehchaante Hain,
Unhe koi bhi nahin de sakta hai dhokha.

Satsang mein baithna hai shanti se,
Aur judna hai Guruji kee kanti se,
Andhvishwas aur vehemon ko chodnahai is imtehaan mein zaroori,
Taaki atma-shakti aur manobal mein na aaye kamzori.

Sewa, simran, satsang ke saath saath,
Imtehaan ka ek aur bhaag hai samarpan,
Kyunki agar ashirwaad chahiye poorna,
Toh samarpan karna hoga sampoorna.

Apne manovikaaron par kaabu hai paana,
Taaki karmic bojh aur na badhey,
Maansik duvidhaaon ko hoga suljhaana,
Taaki unka asar imtehaan ke parinaam par na padey.

Changee soch changey karam karna hai zaroori,
Dinacharya banaana hai isey, na ki koi majboori,
Guruji kehte Hain, β€˜Banda bann,’
Ve dekhte kitna saaf hai hamaara mann.

Guruji kee kripa aur hamaari achchi neeyat se,
Kaamyaab ho jaayega imtehaan,
Hum apni oar se koshish karein,
Guruji, kripa kar hamein safalta keejiye pradaan.

Imtehaan kee safaltaa ke liye bhi,
Guruji ke ashirwaad ne hee kaam hai aana,
Isliye imtehaan ke har kadam par,
Karte chalein hum Guruji ka Shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Bhakti Ka Imtehaan (07/15/2020)

Sabse Vandaneeya Vardaan (07/14/2020)

July 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» 877

       Sabse Vandaneeya Vardaan

Bator lo, bator lo, Guru naam ka dhan,
Is dhan se aabhooshit kar lo apna mann,
Aur kuch bhi saath nahin hai jaana,
Buss is naam ne hee kaam hai aana.

Guruji ke naam mein hai asal khazaana,
Isee se achche se beetega zindagi ka afsaana,
Naam bina jeevan mein waqt na ganvaana,
Guru naam ko kisee bhi haalaat mein bhool na jaana.

Guruji ke naam mein lagaao dhyan,
Guruji ke naam mein hai shanti.
Guruji ke naam mein hai gyan,
Guruji ke naam mein hai kanti.

Guruji ke naam se miley antardrishti,
Guruji ke naam par nirbhar hai yeh srishti.
Kyunki Guruji Hain MahaShiv ka avataar,
Jinke vash mein hai saara sansaar.

Guruji ke naam ka asar hai ati-sukhdaayee,
Jisne isey japaa usne raahat hai paayee,
Is naam ke prabhaav se khulta hai moksh ka dwaar,
Jitna japenge, utna kum karna padega intazaar.

Isliye jitna ho sakey, jap lo Guruji ka naam,
Isee se banenge saare bigde kaam,
Is naam ke bina na milega rooh ko aaraam,
Yeh naam hai atma ke liye sabse vandaneeya vardaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sabse Vandaneeya Vardaan (07/14/2020)

Tera Saath (07/13/2020)

July 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 876

              Tera Saath

Bhaarat mein taareekh hai terahn saat,
Guruvar, yeh vinamr vinti hai ki tera saath,
Yoon hee har janam mein milta rahey,
Taaki hamaari kismat ka phool khilta rahey.

Guruvar, Aapka saath hai sabse pyaara,
Aapke saath se hai jeevan mein ujiyaara,
Aapka saath hai sabse vishwasneeya sahara,
Aapke saath se hee hai kalyaan hamaara.

Ye ghar pariwaar waale, ye rishtedaar,
Inka saath toh hai pal do pal ka,
Aaj inka saath mil raha hai,
Lekin kya bharosa hai kal ka.

Sabhi hain bahut pyaare,
Lekin Aapki toh baat hee kuch aur hai,
Baaki sab hain laukik rishtey,
Lekin Aapne toh thaami hamaare jeevan kee doar hai.

Jo mil jaaye har janam mein Aapka salona saath,
Toh asha kee kiran se ujjwal hogi niraasha kee raat.
Karmon ko katvaane mein madad karenge Aap hamaare naath,
Aur kabhi toh yakeenan milegi hamein moksh kee saugat.

Isee ummeed mein seh lenge duniya kee har banaavati baat,
Kaayam rahey Aapne jo dee hai shraddha aur saboori kee saugat,
Aapke samaksh toh hamaari hai keedon ke jaisi aukat,
Kripa kar hamaara uddhaar keejiye, hamaare Bholenaath.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tera Saath (07/13/2020)

Guruji Ke Kareeb Agar Hai Aana (07/12/2020)

July 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 875

Guruji Ke Kareeb Agar Hai Aana

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Toh simran mein dhyan hai lagaana,
Guruji ke dikhaaye raaste par hai chalte jaana,
Shraddha aur saboori se apni bhakti ko hai sajaana.

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Toh neevenpann mein hai jhuk jaana,
Sadaachaari ka raasta hai apnaana,
Sewa ke sangg niswaarth rishta hai nibhaana.

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Toh satsang mein Unkee mahima ka karna hai bakhaana,
Samarpan mein jeevan hai bitaana,
Unkee vadiyaayee ka geet hai gaana.

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Toh pyaar aur sadbhaav hai phailaana,
Chhal kapat aur vikaaron ko na hai dohraana,
Changey sanskaaron ko dil mein hai basaana.

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Toh maangna nahin, kewal hai maan-na,
Unke naam ka jaap hai karte jaana,
Unhe ek pal bhi nahin hai bisraana.

Guruji ke kareeb agar hai aana,
Unmeed aur utsaah ko hai jagaana,
Sweekaarna hai prem se Unka bhaana,
Karte jaana hai har haal mein Unka Shukrana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ke Kareeb Agar Hai Aana (07/12/2020)