August 20, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 914
Mann Ko Vash Mein Karein
Shaant purush ko agyaani na samajhna,
Shaant purush ko manddbuddhi na samajhna,
Adhyaatmik honei kee nishaani bhi ho sakti hai uskee shanti,
Aksar ve loag shaant rehte hain jinkee divya hoti hai kanti.
Satya aur shanti ko na samajh lena unkee kamzori,
Kyunki is avastha ke loagon ne thaami hoti hai apne mann kee dori,
Ruhaaniyat aur aadhyatmikta ke liye mann ko vash mein karna hai zaroori,
Aur shantimay vyakti nakaaratmakta se rakhte hain duuri.
Vaataavaran kee hal-chal aur doojon kee beimaani,
Shor machaakar inse ladne mein shaayad ho aasaani,
Lekin uss-se aksar khud ka santulan kharaab ho jaata hai,
Aur mann bhi kabhi kabhi bhatak jaata hai.
Guruji bhi chaahein ki hum mann ko vash mein karein,
Ki hum andhvishwaas aur vehemon se na darein,
Saath hee apne antarmann mein sakaraatmakta bharein,
Tabhi toh Ve kehte Hain ki hum simran karein.
Jabb Guruji dekhenge ki hum kar rahe hain sachchaa prayaas,
Mann kee lehron ko shaant karne ka kar rahein hain riyaaz,
Toh Ve awashya hamaari madad karenge,
Aur mann mein sanyam ka amrit bharenge.
Jitna hum karenge simran aur dhyan,
Utna hee mann ko milega divya gyan,
Jo pradaan karega hamein atma-shakti,
Jis se mann vash mein hoga aur kendrit hogi bhakti.
Yahee hai raasta adhyaatmik unnati ka,
Yahee hai raasta ruhaani pragati ka,
Jisne mann ko vash mein kar ke dhaaran kiya dheeraj,
Veh har paristhiti mein khilega bannkar neeraj.
Isliye simran se swayam ko ekaagrachitt kar ke,
Hum apne mann ko vash mein karne ka prayaas karein,
Chetna, pavitrataa, satya ke path par chalein,
Guruji ke charnon mein yeh ardaas karein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja