Ganesh Chaturthi Ka Utsav Hai Aaya (08/22/2020)

August 22, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 916

Ganesh Chaturthi Ka Utsav Hai Aaya

Pyaare Shri Ganeshji ke janam ka prateek,
Ganesh Chaturthi ka utsav hai aaya,
Sabhi Shivganon ke adhyaksh ka padd paakar,
Ganesh ji ne Ganapati naam hai paaya.

Brahmaji ne Shiv Puran mein,
Naarad ji ko bataaya,
Ki kaise Shiv Parvati ke jeevan mein,
Itna pyaara Bhagwaan aaya.

Devi Parvati kee sakhiyon ne ek din,
Unse kaha karne ko jatan,
Ki Ve Apni suraksha ke liye,
Rachit karein ek vishesh gann.

Pehle toh Parvati Mata,
Bhool gayin jo keh gayi sakhiyon kee rasna,
Phir Unhe lagaa ki sakhiyon ne sahi kaha,
Aur Unhonei kee Ganeshji kee rachna.

Mata kee raksha karne ke liye,
Ganeshji ne kiya Shivji se bhi yudh aur vaad-vivaad,
Krodh mein Shivji ne toad dee seema,
Aur diya Ganeshji ke sir ko kaat.

Parvati ji ko gussa aaya,
Unhonei pralay machaaya,
Shaktiyon kee sena kee rachna kar ke,
Devaganon ko bahut daraaya.

Devtaaon ne Mata se maangi kshama,
Kar ke Mata kee bandagi,
Mata ne maafi dene ke badle maangi,
Apne putr kee zindagi.

Devtaaon ne Shivji se kiya anurodh,
Ki Ve tyaag dein Apna krodh,
Rijhaayein Parvati ji ko jo theen peedit,
Kar ke Ganeshji ko jeevit.

Shivji ne devtaaon ko diya aadesh,
Ki Ve uttar disha mein jaayein,
Aur jo bhi pehla praani miley,
Uska sir kaat kar ke le aayein.

Shivji ke hukm ko maan kar,
Devtaa ekdant haathi ke sees ko lekar aaye,
Phir Unhonei Ganeshji ke dhadh ko dhoya,
Aur sees ko dhadh par diya lagaaye.

Mata Parvati huin prasann,
Unka parivaar ho gaya sampann,
Mata ne diya Ganeshji ko bahut maan,
Poojaneeya honei ka Unhe diya vardaan.

Ganeshji ke divya mastak par,
Thaa abha ka sindoori rangg,
Parvati Maa ne kaha ki Unkee pooja hogi,
Hameshaan lal sindoor ke sangg.

Ganeshji kee stuti sab Devon ne kee,
Aur diya Unhe prem bhara sammaan,
Ganeshji ke baad hogi Unn sabki pooja,
Diya Unhonei Ganapati ko yeh vardaan.

Ye hai vighn-haran mangal-karan
Ganeshji ke janam kee katha,
Jaisi bhi vipatti aaye bhakton par,
Ganeshji usey dete Hain hataa.

Guruji ke rachaaye Bade Mandir mein,
Unhonei sthaapit kiye Shri Ganesh,
Jinka naman kar ke saare bhakt,
Karte hain Bade Mandir mein pravesh.

Aap sab ko Ganesh Chaturthi ke paawan parv par,
Bahut bahut badhaayee aur pyaar,
Jis mahamaari ne itna darr phaylaaya hai,
Dua hai ki uss-se abb mukt ho jaaye sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Ganesh Chaturthi Ka Utsav Hai Aaya (08/22/2020)

Leave a comment