Guruji Ka Gungaan (08/28/2020)

August 28, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 922

        Guruji Ka Gungaan

Guruji kee mahima phaylaate chalo,
Guruji kee mehar ke geet gaate chalo,
Masti mein gungunaate chalo,
Dil mein ullaas tum laate chalo.

Yeh Guruji ka gungaan hai,
Iska meetha parinaam hai,
Ismein sukh aur aaraam hai,
Yahee toh aata kaam hai.

Guruji ke gungaan mein amrit kee pavitrataa hai,
Guruji ke gungaan mein chhaaon kee sheetaltaa hai,
Guruji ke gungaan mein Guruji ke liye pyaar hai,
Guruji ke gungaan mein Guruji ke liye satkaar hai.

Guruji ka gungaan karti hai saari sangat,
Guruji ka gungaan sunti hai saari sangat,
Guruji ke gungaan mein itna chayyn hai,
Guruji ke gungaan se num hotey nain hain.

Guruji ke gungaan mein hai hamaari suraksha ka sandesh,
Guruji ke gungaan se Guruji karein dil mein pravesh,
Guruji ka gungaan hota rahe baar baar,
Guruji ka gungaan hamein deta hai taar.

Guruji ke gungaan se bhakton ka hota hai kalyaan,
Guruji ke gungaan se sadaa rehta hai Guruji ka dhyan,
Guruji ka gungaan dil se rasna par hai aata,
Guruji ka gungaan aathon peher hai bhaata.

Guruji ke gungaan se utsaah badhta hai hamaara,
Guruji ka gungaan hai Guru mahima kee behti dhaara,
Guruji ka gungaan Guruji ko lagtaa hai pyaara,
Guruji ka gungaan hai har asahaay ka sahaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ka Gungaan (08/28/2020)

Leave a comment