August 31, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 925
Sukh Ka Dhan
Shaant na hoga jab takk mann,
Kaise praapt hoga sukh ka dhan?
Guruji , kewal Aapki karunadrishti se yeh mumkin ho sakta hai,
Kyunki mann toh idhar udhar bhatakne se nahin rukta hai.
Duur karne mein madad keejiye,
Agyaan kee raat ka andhera,
Aapki kripa se hee dekhne ko milega,
Hamein gyan roopi savera.
Apne ashirwaad ke amrit se,
Kar deejiye hamaara uddhaar,
Hamein vinaash se bachaa sakta hai,
Kewal Aapka kiya upkaar.
Aapke simran aur satsang mein hum,
Seekhein vikaaron se chhootne kee kalaa,
Varna ye manovikaar hum par bhaari padkar,
Denge hamaari satyanishtha (integrity)ko jalaa.
Ek hee mann hai hamaare paas,
Usey niyantran mein rakhna sikha deejiye,
Buss ye mann Aapka dhyan karey sadaa,
Aisa raasta isey dikhaa deejiye.
Jitna hum Aap mein leen rahenge,
Utna hee vyarth kee baaton se hongei duur,
Aur japp tapp hee veh saadhan hai,
Jis se mann ekaagr hoga zaroor.
Jo yeh mann abhi hai itna chanchal,
Veh Aapki mehar se ho jaaye nishchhal,
Aapka dhyan hee karega shanti pradaan, Aapki rehmat se milega sukh aur hoga kalyaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja