Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

August 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 905

      Janmashtami Ka Tyohaar

Aaj Janmashtami ka tyohaar hai,
Chhaayee har oar khushi kee bahaar hai,
Manaayein hum sab Bhagwaan Krishna ka janam,
Aur Vishnuji ke aathvein avataar ka aagaman.

Vasudev aur Maa Devki ne,
Pyaare Baal Gopal ko janam diya,
Mathura ke ek kaaraagaar mein,
Tufaani raat ke andhiyaar mein.

Aisee divya leela thi chhaayee,
Ki gehri si neend mein so gaye sipaahi,
Har bedi, har hath-kadi khud hee khul gayi,
Aur phir Vasudev ko azaadi mil gayi.

Navjaat shishu ko tokari mein daal,
Vasudev ne liya bachche ko sambhaal,
Aur Ve gaye Gokul ke sundar se gaaon mein,
Saumpne Krishna ko Yashoda kee mamta kee chhaaon mein.

Jaise Vishnuji ne liya Krishna ka avataar,
Aur Kans ke liye kar liya kaal ko pukaar,
Vaise hee MahaShiv aaye Guruji ke roop mein,
Taarne yeh poora sansaar.

MahaShiv mein toh Brahma, Vishnu, Rudra,
Teenon shaktiyaan hain samaayee,
Isliye Guruji ke divya prataap kee mehar,
Saari duniya par hai chhaayee.

Guruji chaahein ki hum Krishna roopi chetna se,
Apna jeevan karein vyateet,
Taaki agyaan aur nakaaraatmakta kee raatri,
Sadaa ke liye jaaye beet.

Vehem, andhvishwaas, aur vikaaron kee hathkadiyaan,
Inse mukt hon hamaare soch vichaar kee ladiyaan,
Sakaaraatmakta ka sur bajaaye har dil kee baansuri,
Aur bhakti mein ho shraddha aur saboori.

Jab anyaaya aur vikaaron par lagega poornaviraam,
Phir dharti par hee bann jaayega Baikunthdhaam,
Guruji hum sabse kitne prasann hongei,
Aur Unhe prasann kar ke hum sab sampann hongei.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Janmashtami Ka Tyohaar (08/11/2020)

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)

August 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 904

               Unkee Muthhi Mein

Jis pal se miley hamein hamaare pooran Guru,
Usee pal se ho gaya hamaara kalyaan shuru,
Sach mein bahut hee khushnaseeb hain hum,
Guruji ne sambhaalein Hain hamaare khushi aur gumm.

Anant se bhi paar dekhti hai Unkee divya drishti,
Unke aagey sir jhukaa deti hai poori srishti,
Unke ek ishaare se tufaan rukh badal leta hai,
Unke ek hukm se Yamraaj haar maan leta hai.

Guruji hamaara sadaa rakhte Hain itna dhyan,
Koi bhakt nahin hai is meethe sach se anjaan,
Ve swechha se Hain hum sab mein vidyamaan,
Aur sadaa karte Hain hum sabka kalyaan.

Guruji pooran Guru aur MahaShiv Bhagwaan Hain,
Ve hee sampoorna srishti mein sabse mahaan Hain,
Unke prataap se hee zameen aur aasmaan hai,
Unkee muthhi mein toh saara ka saara jahaan hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Unkee Muthhi Mein (08/10/2020)

Guru Prem (08/09/2020)

August 9, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 903

                   Guru Prem

Guru prem hai prerna,
Guru prem hai chetna,
Guru prem hee shiksha,
Guru prem hee deeksha.

Guru prem hai bandhan,
Jiska sab karte hain vandan,
Guru prem veh chandan,
Jis se mehek jaaye yeh mann.

Guru prem hee shakti,
Guru prem hee bhakti,
Guru prem se nirmaan,
Guru prem hai divya dhaam.

Guru prem hai simran,
Guru prem hai samarpan,
Guru prem hai satsang,
Guru prem hai sadaa angg sangg.

Guru prem hai aradhana,
Guru prem hai sadhna,
Guru prem hai ek aas,
Guru prem hai vishwaas.

Guru prem hai santosh,
Guru prem hai ruhaani josh,
Guru prem hai pooja,
Guru prem hai oorja.

Guru prem hai ashirwaad,
Guru prem hai prasad,
Guru prem hai dukh haran,
Guru prem hai mangal karan.

Guru prem hai uphaar,
Guru prem se paropkaar,
Guru prem praanon ka aadhaar,
Guru prem se hai sansaar.

Guru prem hai sahaara,
Guru prem hai jeevan dhaara,
Guru prem hai vardaan,
Guru prem ko prem bhara pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Prem (08/09/2020)

Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko (08/08/2020)

August 8, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 902

     Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko

Sewa kar lo, simran kar lo,
Kar lo Guruji ko yaad,
Guruji kee maujoodagi se,
Kar lo apne dil ko aabaad.

Satsang kar lo Guruji ka,
Kar lo tum fariyaad,
Ki Guruji tumhare dil ko,
Karvaayein vikaaron se azaad.

Langar khaa lo shraddha se,
Veh hai Unka diya prasad,
Langar aur chai prasad mein hai,
Guruji kee divyataa ka swaad.

Dhyan lagaa lo Guruji mein,
Chod do har vaad vivaad,
Jab bhi koi baat sataaye,
Kar lo Guruji se samvaad.

Samarpan kar do Guruji ko,
Chinta matt karo uske baad,
Guruji sambhaalenge sab kuch tumhaara,
Dekar tumhe ashirwaad.

Aaradhya banaa lo Guruji ko,
Ve dete Hain itna pyaar aur laad,
Shukrana karte raho Guruji ka,
Unmein baste Hain Om aur Naad.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aaradhya Banaa Lo Guruji Ko (08/08/2020)

Pyaar Bhara Deedar (08/07/2020)

August 7, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 901

             Pyaar Bhara Deedar

Ek toh phaylaa hua kalyuga ka daldal hai,
Oopar se yeh mann bada hee chanchal hai,
Isey vash mein karna nahin hai aasaan kaam,
Aur yahee hai hamaara sabse bada imtehaan.

Maalik ne banaaya hai hamein insaan,
Isliye zaroori hai karna karmic bhugtaan,
Tabhi toh mann ko vash mein laana hee hoga,
Aur saanson ka karz chukaana hee hoga.

Karna hai adaa agar saanson ka karz,
Toh nibhaana hoga simran ka farz,
Kisee ne sach kiya hai arz,
Ki simran se sudharta hai taur-tareeka aur tarz.

Simran mein veh jaadu hai,
Jo karta mann ko kaabu hai,
Mann par niyantran honei lagega jaise jaise,
Simran aur bhi anandmayee hoga vaise vaise.

Guruji kehte Hain simran hai bahut zaroori,
Chaahe shuruaat mein veh lagey majboori,
Dheere dheere toh simran saanson ka saathi bann jaata hai,
Phir simran ke bina nahin jiya jaata hai.

Simran se milta hai Guru naam ka dhan,
Simran se shudh honei lagta hai mann,
Simran hai dawaa ashanti aur vikaaron ke marz kee,
Simran se kum hoti hai zimmedaari saanson ke karz kee.

Kyunki saansein nibhaati hain Prabhu ko yaad karne ka dharam,
Aur is se katt-te jaate hain hamaare karam,
Dhul jaati hai mayl mann kee,
Bhalaayee hoti hai jann jann kee.

Chanchal mann kee soch badal jaati hai,
Kyunki simran se mann mein pavitrataa aati hai,
Poori kaayinaat ka simran ke spandan se uddhaar hota hai,
Aur bhakton ko Guru Govind ka pyaar bhara deedar hota hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaar Bhara Deedar (08/07/2020)

Sabka Beda Paar (08/06/2020)

August 6, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 900

                  Sabka Beda Paar

Guruji kee mahima mein,
Hai anginat sooryon kee garmi,
Guruji kee karuna mein,
Hai sabse pyaare pyaar kee narmi.

Guruji kee leela mein,
Anginat trishulon kee hai shakti,
Guruji kee drishti mein,
Tarr jaati hai har bhakt kee bhakti.

Guruji ke har vichaar mein,
Mahasaagar se bhi zyada gehri gehraayi hai,
Guruji ke vyavhaar mein,
Poore Brahmaand kee oorja samaayi hai.

Guruji ke bhakt jabb karein niswaarth sewa,
Toh Guruji hotey Hain bahut prasann,
Guruji ko jitna samarpan karein hum,
Utne hee hongei hum sampann.

Guruji ke har satsang mein,
Guruji pyaar se aate Hain,
Guruji Apne ruhaani rangg mein,
Har sangat ko rangg jaate Hain.

Guruji ke prataapi haath,
Poore sansaar ko dete hain prashad,
Guruji ka sunehra saath,
Hai sabse bada ashirwaad.

Guruji kee karuna-bhari muskaan,
Bhakton ko itnee khushi hai deti,
Guruji kee leela itnee mahaan,
Ki sabke sankat hai har leti.

Guruji kee nooraani nazar,
Karti saari sarbat ka uddhaar,
Guruji kee dayalu nadar,
Karti hai sabka beda paar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabka Beda Paar (08/06/2020)

Sabse Shubh Sharan (08/05/2020)

August 5, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 899

             Sabse Shubh Sharan

Guruji ne apni har sangat ke liye,
Pyaari si zindagi banaayee hai,
Uss zindagi kee har moad Guruji ne,
Apni mamta ke phoolon se sajaayee hai.

Gyan ke chiraag se ujjwal kiya hai,
Guruji ne hamaari zindagi ko,
Taaki koi bhi kamzor na kar paaye,
Hamaari bhakti aur bandagi ko,

Idhar udhar bhatakne kee nahin hai zaroorat,
Har pal hai sewa aur simran ke liye ek haseen mahoorat,
Abb jo dil mein Guruji ke naam ke diye jal gaye hain,
Toh itne kasht toh aane se pehle hee tal gaye hain.

Bheetar se hamein saaf kar rahein Hain Guruji,
Hamaari anek galatiyon ke liye hamein maaf kar rahein Hain Guruji,
Chaahe hum aur kisee ko na nazar aayein,
Hamein dhoondh leti hain Guruji kee nigaahein.

Har ek pal kee Guruji ko hoti hai khabar,
Har ek pal hum par hoti hai Unkee nadar,
Bin boley hee jaan lete Hain Ve har baat,
Dil ka paawan rishta hai Unke saath.

Hamaari chhoti se chhoti chaahat aur zaroorat ka,
Guruji ne rakha hai sadaa itna khayaal,
Unke sneh aur Unka laad paakar,
Hum sach mein huey hain nihaal.

Guruji kee lagan mein hokar magan,
Aao karte rahein hum dil se jatan,
Jatan Guruji ko prasann karne ka,
Jatan apne jeevan ko sampann karne ka.

Guruji se lagan jo lagaayee hai,
Ismein hee hamaari saari bhalaayee hai.
MahaShiv Guruji kee sharan sukhdaayee aur mokshdaayee hai,
Hum khushkismat hain ki humne sabse shubh sharan mein jageh paayi hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sabse Shubh Sharan (08/05/2020)

Kewal Yaadein Hee Reh Jaayengi (08/04/2020)

August 4, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 898

  Kewal Yaadein Hee Reh Jaayengi

Guruji ne yeh tann mann dhan hai diya,
Guruji ne yeh jeevan hai diya,
Iske har pehlu ko Unkee mehar se lein hum nikhaar,
Unnat karein hum apni soch, apni vaani, apne vichaar, aur vyavhaar.

Paawan mithaas ho vaani mein,
Shudh hon hamaare sanskaar,
Kewal oopar oopar se nahin,
Balki dil mein basaa ho pyaar.

Sanvaarein hum apni soch aur apne vichaar ko,
Sudhaarein hum apne vyavhaar ko,
Guruji ke saath seedhi taar jodein,
Aur samridh (enrich) karein ghar-sansaar ko.

Kisee aur ke beech mein aane ke bajaaye,
Saaf saaf baat karein ek dooje ke saath,
Taaki galat-phemiyon se rishton mein na aaye koi daraar,
Taaki dosti, prem, aur har rishte ke beech na khadi ho koi deewaar.

Jitne loag beech mein hongei,
Utna hee har baat ka batangad bann sakta hai,
Koi virle hain aajkal jo sahi sunenge aur vahi sunaayenge,
Baaki jahaan toh galat-phehemiyon ko badhaate nahin thaktaa hai.

Kabhi kabhi apne faayde ke liye,
Koi baat ko badal bhi deta hai,
Toh koi aur vishwaas khandit honei ke kaaran,
Rishton ko tootne deta hai.

Kabhi kabhi dil mein kuch bura nahin hota,
Lekin vahee baat ko dekhne ka bhinn bhinn drishtikon hota hai,
Aur idhar se udhar jabb takk maajra jaata hai,
Toh kayee baar veh apne mool arth ko khota hai.

Guruji kahein jeevan ho saada aur saral,
Vyavhaar aur vichaar hon saaf aur taral,
Isliye spashtikaran karna hai bahut zaroori,
Taaki mitt jaaye galat-phehemiyon aur galatiyon se banee hui duuri.

Kyunki kya maalum, hum mein se kaun kab yahaan se chalaa jaayega,
Karmic khaata bachega, toh kis rishte ko nibhaane kaun jeevan mein phir aayega?
Kumm se kumm is janam ke karmic bojh ko toh na badhaayein,
Aur Guruji ka anusaran kar swayam ko galat-phehemiyon se bachaayein.

Oorja ko sakaaratmak banaayein,
Ahem ko chod, rishton mein madhurta aur kharaapan laayein,
Hum mein se koi bhi Bhagwaan nahin,
Swayam ko har pal yeh yaad dilaayein.

Yaad reh jaayega har silsilaa vaise ka vaisa hee,
Jaisi usmein oorjaa hogi bahee.
Kyun na har maamla apni taraf se kar lein sahi,
Kyunki aaj toh hum hain yahaan, lekin kal hum yahaan hongei nahin.

Kewal yaadein hee reh jaayengi,
Kyun na unn yaadon mein mithaas bharein,
Apni oar se mithyabodh aur kadwaahat ko tyaag kar,
Sakaratmak spandan laane ka prayaas karein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kewal Yaadein Hee Reh Jaayengi (08/04/2020)

Raksha Ka Ye Hai Bandhan (08/03/2020)

August 3, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 897

Raksha Ka Ye Hai Bandhan

Raksha ka ye hai bandhan,
Vaada karein ki hum karte rahein vandan,
Guruji mein basey naath, bhai, bandhu aur meet ka,
Aur hameshaan aadar karein Guruji kee preet ka.

Guruji ke sangg manaayein,
Raksha bandhan ka tyohaar,
Guruji kee sharan mein aane se,
Tarr raha hai hamaara ghar pariwaar.

Guruji ne toh hameshaan,
Apna vaada nibhaaya hai,
Hamein pyaar bhari suraksha dekar,
Hamein jeena sikhaaya hai.

Ve toh nibhaayenge vaada anant takk,
Ismein na hai koi bhi shaq,
Lekin hamein swayam ko har pal yaad dilaana hai,
Ki hamein apni oar se rishta nibhaana hai.

Rishta wafaadaari ka,
Rishta sadaachaari ka,
Rishta Unhe na bisraane ka,
Rishta har pal shukraane ka.

Rishta niswaarth pyaar ka,
Rishta aadar satkaar ka,
Rishta murshid se shaagird ka,
Rishta bin soche ird gird ka.

Guruji Hain hamaara sansaar,
Guruji Hain parawaradigaar,
Guruji Hain Ve naath, meet, aur bhai,
Jinse vaddi na hai aur koi bhi vadiyaayee.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Raksha Ka Ye Hai Bandhan (08/03/2020)

Atma Ka Milan Paramatama Se (08/02/2020)

August 2, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 896

      Atma Ka Milan Paramatama Se

Om Namaha Shivaya,
Hamaare pyaare Guruji aaye,
Agyaan ka timir mitaane,
Nirdosh kee laaj bachaane,
Shoshit ko insaaf dilaane,
Sabke karam katvaane.

Om Namaha Shivaya,
Hamaare pyaare Guruji aaye,
Sach ka paath sikhaane,
Saralta ka mahatva bataane,
Kalyuga kee swaarthi laukikta ghataane,
Satyuga ka raasta dikhaane.

Om Namaha Shivaya,
Hamaare pyaare Guruji aaye,
Andhvishwaas ko duur hataane,
Vehemon se chhutkaara dilaane,
Atma-bal hamaara badhaane,
Aantrik shakti kee vriddhi karaane.

Om Namaha Shivaya,
Hamaare pyaare Guruji aaye,
Hum mein nirmal bhaav jagaane,
Hamaari haumai ko hamein giraane se bachaane,
Hamaari atma ko ruhaani oonchaayee par pahunchaane,
Hamaari sadhna kee gehraayee ko sajaane.

Om Namaha Shivaya,
Hamaare pyaare Guruji aaye,
Hamein har sukh aur dukh se mukt karaane,
Hamein divyataa kee oar le jaane,
Hamaari rooh ko swayam Apne mein samaane,
Hamaari atma ka milan Paramatama se karaane.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma Ka Milan Paramatama Se (08/02/2020)