Aapka Dhyan Karte Karte (09/22/2020)

September 22, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 947

        Aapka Dhyan Karte Karte

Pyaare Guruji,

Aapke jo anek Swaroop Hain, mai kis Swaroop ko sabse behtar maanoon,
Aapke toh har roop ko Bhagwaan ke naam se jaanoon.
Aapka noor chhaaya hai har Swaroop par is kadar,
Ki mann hee nahin karta hataane ko apni nazar.
Buss, Aapko hee nihaarti rahoon mai din raat,
Aapke baare mein hee sunoon aur karoon baat,
Jidhar jaati hoon Aap saath hotei Hain mere,
Aapke sangg baatein karti hoon mai shaam savere.

Aapki ruhaani maujoodagi ka jo suhaana saath hai,
Aapke haath ne jo thaama mera haath hai,
Uss se uttam koi ashirwaad nahin,
Uss se paawan koi prasad nahin.

Aapka bhaana meetha laagey sadaa,
Aisee kripa karna mere daata,
Mere jeevan mein aane waale har dukh aur sukh kee badaulat,
Har pal gehra hota jaaye mera Aapse naata

Raat ke andhere mein Aap hee raasta dikhaayein,
Subah ke aseem akash mein Aap roshan sooraj bann kar aayein.
Sabse badi baat hai ki Aapne dil mein vishwaas ka diya jalaaya hai,
Sabse badi saugat hai ki Aapne har museebat mein dilaasa dilaaya hai.

Waqt ke sangg utaar chadhaav aayein
Toh bhi karti rahoon Aapki bandagi,
Buss yoon hee Aapka ka dhyan karte karte
Beet jaaye yeh zindagi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapka Dhyan Karte Karte (09/22/2020)

Leave a comment