Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 950
Bhaley Kee Baat
Dhyan karo gungaan karo,
Guruji kehte Hain gupt daan karo,
Satyuga ka swaagat ek saath karo,
Guruji kehte Hain gupt paath karo.
Khokhli baaton se Simran ko na bhangg karo,
Guruji se seedhi taar jod kar satsang karo,
Zindagi ke din hain kewal do chaar,
Gupt sewa karo Guruji ke hukm ke anusaar.
Shraddha rakho, aur rakho sakaratmakta aur saboori,
Jo bhi divyataa se duur le jaaye, uss se banaa lo tum duuri.
Niswaarth prem ke moti piroh lo apni bhakti mein,
Vishwaas rakho Guruji kee anant shakti mein.
Sadaachaari se karo shareer kee shuddhi,
Dhyan dwaara badhaao adhyatmik buddhi,
Guruji kee mehar se aa jaayegi subuddhi,
Shuddhi aur subuddhi hai ruhaani sukh kee vidhi.
Guruji ka sikhaaya saleeqa saral hai,
Guruji ka taraasha har tareeka taral hai,
Guruji ka kiya har kalyaan komal hai,
Guruji ka kiya niyati ka nirmaan nirmal hai.
Guruji kee dee hui daat hai ye,
Isliye yakeenan bhaley kee baat hai ye.
Isliye taral tareekon aur saral saleeqon ko apnaa lo jeevan mein,
Komal kalyaan aur aise nirmal nirmaan ka anand samaa lo mann mein.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
[11:57 PM, 9/24/2020] Dhirja Bhat M. D.: 💚🌹🌹🌹