October 4, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 959
Bandagi Kee Chunariya
Guruji, Aapki bhakti ka har pal,
Mann ko meetha laagey,
Dua hai ki Aapki bhakti karte karte,
Pakke ho jaayein bandagi ke dhaage.
In dhaagon mein kabhi gaanth na pad jaaye,
Aapse vintee hai mere Bhagwan,
In dhaagon se pyari si chunariya banaa do,
Jisey atma par odh kar sajaaoon mai apna jeevan.
Meri atma par ho Aapki bandagi kee chunariya,
Uspar Aapki ruhaaniyat kee khushboo chhaaye,
Toh makhmali hogi janam aur maran kee dagariya,
Chaahe kaisa bhi kasht saamne aaye.
Is chunariya ko odhe huey,
Baadalon ke paar mai ud jaaoon,
Akash kee aseemta ko paar kar ke,
Baaki har bandhan se azad ho jaaoon.
Buss Aapke saath juda naata,
Veh sadaa rahe salaamat,
Toh aanch bhi na aayegi mujh par,
Chaahe aa jaaye poori srishti mein kayamat.
Swaarthi bann rahi hoon agar yeh maangkar,
Toh Aap kripya mujhe kar dena kshama,
Kya karoon, yeh ruhaani tamanna hai meri,
Ki Aapke sangg hee guzrey mera saara samaa
Isliye is tamanna ko poori karne kee koshish mein
Mera saath dena, mere daata
Buss itna yogya banaa dena mujhe
Ki Aapke charnon se juda rahe mera naata
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja