October 22, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 977
Param Poojya Paalanhaar
Guruji ne na diye koi pravachan, na hee kiya prachaar,
Sudhaarne aaye Ve hum sabke jeevan ka aakaar,
Sadaa diya hai Unhonei sabko niswaarth pyaar,
Har pal har bhakt ke liye khula hai Guruji ka dwaar.
Guruji Hain hamaari har saans ka aadhaar,
Guruji gira dete Hain niraasha kee deewar,
Ve waqt aane par karte Hain har kalyanmayee sapne ko saakaar,
Aur hamaare bin boley hee kar dete Hain hamaara uddhaar.
Guruji jaante Hain hamaara har vichaar,
Ve sudhaarna chaahte Hain hum sabka vyavhaar,
Unhe sarvsamarpan karne mein hai hamaara upkaar,
Jabb hum Unkee sharan mein hain toh aur kaheen jaana hai bilkul bekaar.
Jeevan mein hum apnaa lein achche sanskaar,
Apne mann ko banaa lein shuddhi ka vihaar,
Guruji par apne vishwaas ko rakhein har pal barkaraar,
Na karne dein kisee bhi sanshay ko is vishwaas par prahaar.
Guruji kee kripa se duur hota hai andhkaar,
Unhee kee karuna se chuur hota hai ahankaar,
Guruji kee mahima hee taar sakti hai sansaar,
Aur kar sakti hai har bhakt jann ka beda paar.
Jab se Guruji huey niraakaar,
Unkee leela ho gayi pehle se bhi zyada aparampaar,
Har pal badh raha hai Unka paropkaar,
Srishti ko sanvaar rahe Hain Ve is prakaar.
Guruji yakeenan Hain MahaShiv ka avataar,
Ve Bhagwan Hain, yeh dikhaaya hai Unhonei baar baar,
Unhee mein samaaya hai poori divyata ka saar,
Unn param poojya paalanhaar ko baarambaar namaskaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja