Thoda Aur Sabr Tu Rakh (11/03/2020)

November 3, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 989

            Thoda Aur Sabr Tu Rakh

Aayegi veh subah sunehri,
Jiska tujhe hai intazaar,
Thoda aur sabr tu rakh,
Na hota chal bekaraar.

Is andheri raat ke lamhon mein,
Apne aap ko tu kar tayyaar,
Simran aur dhyan mein ramta jaa,
Inhee se hoga beda paar.

Ekaagrachitt na bhi ho sakey,
Toh koshish karne se na tu haar,
Guruji toh neeyat parakhte Hain,
Neeyat mein piroh le tu wafaa aur pyaar.

Tu bilkul niraash na ho,
Agar chaand taare na sunein teri pukaar,
Tu shraddha ka deepak mann mein jalaa,
Na karne de sanshay ko apne vishwaas par vaar.

Apne dil kee awaaz ko banaakar ek nagma,
Tu bann jaa jeevan ke manch par fankaar,
Guruji ko poora karne de tu apni zindagi ke har pehlu ka chitra,
Kyunki poori srishti mein nahin hai unse kaabil chitrakaar.

Ho sakta hai ki chalte chalte,
Tujhe bhatkaane lagein tere manovikaar,
Tu unko paraajit kar ke jhuka de,
Banaakar neki aur nirmaltaa ko hatyaar.

Is raat mein chaahe tu samjhe tu akela hai,
Tere saath Hain tere paalanhaar,
Ek Ve hee Hain jo tere apne Hain,
Na ki tera yeh ghar sansaar.

Lekin kyunki is karam bhoomi par tu aaya hai,
Guruji ne diya hai tujhe laukik parivaar,
Isliye karmon ka hisaab hona bhi zaroori hai,
Aakhir zindagi ke din toh hain kewal do chaar.

Isliye is raat ko imtehaan maan kar,
Ho jaa tu Guruji kee naiya mein savaar,
Sabke liye mann mein rakh sadbhavna aur pyaar,
Aur sakaratmak rakh tu apna vyavhaar.

Sooryoday hoga ummeed ke akash mein,
Tera swaagat hoga uske tejmayee prakash mein,
Ujjwal hogi tere raaste kee har moad,
Tu aagey chalega ateet ko peechhe chod.

Tujhe Guruji denge adhyatmik unnati ka uphaar,
Aur tere jeevan mein sunehri subah hogi phir ek baar,
Imtehaan mein tujhe safalta denge tere Parwardigaar,
Dekhna, pyaare Guruji tujhe zaroor denge taar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Thoda Aur Sabr Tu Rakh (11/03/2020)

Leave a comment