November 6, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 992
Ho Gaya Mujhe Paawan Pyaar
Ho gaya mujhe paawan pyaar,
Aakar pyaare Guruji ke darbar,
Anandit hua hai ghar pariwaar,
Paakar Guruji mein Parwardigaar.
Aayi jeevan mein kabhi bahaar,
Aur kabhi tufaanon ne kiya vaar,
Na maani mainey haar,
Kyunki mere sangg Hain kirpadhaar.
Kar liya mainey sweekaar,
Ki Guruji Hain taaranhaar,
Denge mujhko bhi Ve taar,
Is satya ka hai mujhe ikraar.
Bayaan karun apna aabhaar,
Mann hee mann mein baar baar,
Hua hai poora aitbaar,
Ki Unkee mahima hai aparampaar.
Jaisa bhi hai ye sansaar,
Yahaan mere din hain buss do chaar,
Paakar mainey Guruji ka dulaar,
Paa leen meharabaaniyaan kayee hazaar.
Guruji MahaShiv ka Hain avataar,
Mere jeene ka Hain Ve aadhaar,
Unse jud gayi hai seedhi taar,
Toot gayi sanshay kee har deewar.
Mai jis naiya mein hoon savaar,
Guruji ke haath mein hai uskee patvaar,
Ve lekar jaayenge jis bhi paar,
Vaheen hoga meri sunehri manzil ka dwaar.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja