Aisa Guru Sach Mein Aur Kaheen Nahin Milega (11/10/2020)

November 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 996

Aisa Guru Sach Mein Aur Kaheen Nahin Milega

Jo Apni mamta ke marham se tere ghaav silega,
Aisa Guru sach mein aur kaheen nahin milega.
Jo tere dukh mein Apni aankhon se aansoon bahaayega,
Aisa matvaala meet tujhe dhoondhne se bhi na mil paayega.
Jo tujhe mata pita ka pyaar dekar Apni goad mein sambhaalega,
Aise niswaarth Guru ko paakar tera dil saari kaayinaat kee khushiyaan paa lega.

Isliye,
Na karne de apne aansuon ko tu apne haunsle par vaar,
Keh de unse ki tere saath Hain tere taaranhaar.

Na karne de paristhitiyon ko apne santulan par aakramann,
Samjhaa de unhe ki teri raksha kar rahei Hain tere Bhagwan.

Na aane de aanch apni akhandataa par,
Tujhe prerna de rahein Hain tere Guruvar.

Na chhaane dena tu apne par maayusi ko akelepann mein,
Tu apna dhyan lagaaye rakhna Neelkanth Niranjan mein.

Na karna tu buraayee chaahe ve buraayee karein ek ya har baar,
Unhe bhi dekh rahey Hain MahaShiv kirpadhaar.

Duniya kee bheed ko na chheen lene dena tu apna utsaah,
Kyunki Guruji ko har pal hoti hai teri parvaah.

Ateet ko na churaane dena tu khushi vartmaan kee,
Tere saath prem bhari mitrataa hai Guruji ke roop mein Bhagwaan kee.

Kalyuga ke keechad se na honei dena malin apni atma ke kamal kee khoobsoorati,
Teri pavitrataa ko poora sahaara de rahei Hain Trilokinath Pashupati.

Isliye,
Shukrana kar ke mastak jhukaa tu Guruji ke naman mein,
Har chunauti ko sweekar kar tu magn ho Guruji ke manan mein,
Aisee koi uljhan nahin hai jo nahin suljhegi Unki sharan mein,
Tera bura waqt yakeenan haar maanega Unke kamal charan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Aisa Guru Sach Mein Aur Kaheen Nahin Milega (11/10/2020)

Leave a comment