November 14, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1000
Diwali Ke Diye
Guruji kee aseem kripa se,
Diwali ka paawan parv hai aaya,
Akash kee garima anokhi hai,
Aur divya prakash hai chhaaya.
Guruji ne kaha thaa ki maada waqt aayega,
Aaj dekh hee liya insaan ne,
Abb sudhaar hum sab par nirbhar hai,
Hamein yaad dilaaya hai Bhagwaan ne.
Aayiye manaayein Diwali ka tyohaar,
Ruhaani diyon se hum sajaayein sansaar.
Aayiye prateekaatmak diye jalaayein,
Aur vishwa mein parivartan laayein.
Diya jalaayein pyaar ka,
Jis se upchaar ho sadaachaar ka,
Is diye kee lau mein ho samvedana ka aisa spandan,
Jiskee mehek ke aagey pheeka pad jaaye chandan.
Diya jalaayein ekta kee bhavna ka,
Ek dooje ko surakshit rakhne kee kaamna ka,
Har ek ke swaasthya ka dhyan rahe,
Har ek ke manobhaav ka dhyan rahe.
Diya jalaayein himmat aur sahaanubhuti ka,
Maan rakhein unke praanon kee aahuti ka,
Jinhonei bekusoor hotey huey bhi tyaag diye apne praan,
Jinkee mahamaari kee vajeh se na bach paayi jaan.
Diya jalaayein sarv-samarpan, simran aur dhyan ka,
Taaki prachaar ho har oar divya gyan ka,
Is gyan se agyan ka timir duur ho jaaye,
Aur hum insaanon ka ahem chuur ho jaaye.
Diya jalaayein niswaarth sewa ke sanskaar ka,
Jis se kalyaan ho har ghar pariwaar ka,
Is sewa se har oar prassannata aaye,
Aur har jann ke mann mein sampannata aaye.
Diya jalaayein aisa jo bujh na paaye kabhi,
Kshamaa maang lein aur kshamaa dein bhi,
Diye ke ujaale se jaagrit rahe shraddha aur saboori,
Jo prem aur vishwaas ke sangg kar de bhakti ko poori.
Diya jalaayein neevenpann aur sachchaayee ka,
Jiske jalne se prachaar ho achchaayee ka,
Diya jalaayein neevenpann ke jazbaat ka,
Aur diya jalaayein Guruji ke prati dhanyawaad ka.
Dekhte hee dekhte ujjwal ho jaayega sansaar,
Jabb aise diyon se susajjit hoga har ghar ka dwaar,
Sirf Laxmi nahin, balki har Devi Dev ka mann mein vaas hoga,
Aur chaaron oar harsh aur ullaas hoga.
Kyun na koshish karein aisa karne kee,
Taaki har roz hee Diwali ho,
Dharti par itnee raunak ho,
Ki veh jannat kee tarehn niraali ho.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja