Guruji Ke Geet Tu Gaa Le (11/21/2020)

November 21, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1007

        Guruji Ke Geet Tu Gaa Le

Guruji ke geet tu gaa le,
Jeevan ko safal banaa le,
Sukh dukh apna Unhe suna le,
Apne mann kee dashaa bataa le.

Dil mein vishwaas jagaa le,
Har sanshay ko mitaa le,
Unke dhyan mein chitt ko lagaa le,
Simran ka waqt badha le.

Guruji ko paas bulaa le,
Unse adhyatmik rishta banaa le,
Unkee sharan mein tu panaah le,
Unpar apna haq tu jataa le.

Unse seedhi taar mila le,
Satsang mein ashish tu paa le,
Samarpan kee jyot jalaa le,
Aur kar khud ko Unke havaale.

Sewa se punya kamaa le,
Rotey huon ko tu hansaa le,
Gareeb ko ann khilaa le,
Apni pavitrataa ko azmaa le.

Galatiyon ke liye tu sazaa le,
Maafi maang kar Unhe manaa le,
Muskuraa kar tu Unhe hansaa le,
Changey karam kar Unhe rijhaa le.

Mann mandir mein Unhe sajaa le,
Unke naam ka prasad tu khaa le,
Shukrana mein tu sees jhukaa le,
Roam roam mein buss Unhe basaa le.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Geet Tu Gaa Le (11/21/2020)

Leave a comment