Nirmal Neer (11/20/2020)

November 20, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1006

                    Nirmal Neer

Lekar Shukrana bhara shudh shwaas,
Mehsoos kiya Guruji ke har ehsaan ka ehsaas,
Khud dekhi Unkee Khudaayee itnee khaas,
Ki pal pal prem poorna hota chalaa pooja ka prayaas.

Bhaav-vibhor ho gayi Bholenath ke prati bhakti,
Shobhit hui shanti aur atma-shakti,
Simran mein ramm gaya matvaala mann,
Mil gaya divya dhyan ka dhan.

Uljhan mein mil gayi suljhan,
Dhanya hua dil ka darpan,
Guruji kee chhavi chhaayee chetna par,
Paawan prabhaav hua preet aur prerna par.

Aane lagaa ruhaaniyat ka rass raas,
Kumm hota gaya vyarth vichaaron ka vaas,
Sewa se sugandhit honei lagaa sanson ka saagar,
Guruji ke geeton se bharti gayi gungaan kee gaagar.

Guruji ke naam kee jyot jo jal gayi jeevan mein,
Unkee mahima aur mehar bass gayi magn mann mein,
Unke ashirwaad se anandit hua atma ka aangan,
Unkee udaarta se ullaasit hua ummeedon ka upvan.

Guruji hee Guru Hain aur Guruji hee Rabb,
Sab Devi Devta mein Guruji Hain aur Guruji mein sab,
Unka shat shat Shukrana karte huey sushobhit ho har subah, har shaam,
Guruji ka noor hai nipun, aur jeevan daayi nirmal neer hai Unka naam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Nirmal Neer (11/20/2020)

Musaafir Ko Milee Manzil (11/19/2020)

November 19, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1005

Musaafir Ko Milee Manzil

Ruhaaniyat ke rath par,
adhyatmikta ke path par,
Kehne lagaa musaafir ka dil,
Chalte chalte yoon hee kabhi na kabhi,
Kaash mujhe bhi mukti kee manzil jaaye mil.

Ghataayein raahon ko thein choom rahi,
Uskee ummeed vishwaas ke sangg thi jhoom rahi,
Guruji ke dhyan mein magn veh chalta gaya,
Subah se shaam hui aur sooraj dhalta gaya.

Guruji kee awaaz usey sunaayee de rahi thi,
Apne antar-mann mein baar baar,
Unhee ke protsaahan se,
Veh karta raha raaste kee mushkilon ko paar.

Guruji se usne guzaarish kee, ki Ve karaa dein uske karmon ka bhugtaan,
Guruji ne sunn lee vintee, Ve toh swayam hee Hain Bhagwaan.
Maafi maangi usne apne gunaahon kee maan kar aur jaan kar khud ko Unkee santaan,
Guruji ne bhi karuna se diya usey kshamaa ka daan.

Safar ke dauran Guruji ne usey neembu kee tarehn nichoda,
Lekin ek bhi pal ke liye Unhonei uska saath nahin chhoda.
Jaise jaise peesa Guruji ne uske har vikaar ko mehndi kee pattiyon kee bhanti,
Vaise vaise uskee shakhsiyat par noor bannkar chhaati gayi Guruji kee kanti.

Dekh chukaa thaa duniya ke satrangi rangg,
Bhulaane lagaa thaa har drishtaant ko jisne kiya thaa uskee sadhna ko bhangg,
Mann mein lekar chal raha thaa divya deedar kee umangg,
Vishwaas thaa usey ki Guruji ka ashish hai uske sangg.

Buss, phir usne chaaha aur kuch bhi nahin,
Kyunki usne jaana aur maana ki Guruji sab karenge sahi.

Aisa nahin ki udaas lamhe aur kasht nahin aaye,
Lekin simran se sabr aur himmat usey atma-bal ke sangg mil paaye.
Dukh ke aansoon ponchhta hua dukh ka bhi shukrana karta chala,
Yeh soch kar ki har dukh ke roop mein ek aur kasht taltaa chala.

Nakaratmakta kee khaayeeon par se dridh sakaraatmakta ke saath,
Uska safar bann gaya ek jagmagaati hui raat,
Uss raat ne swaagat kiya shubh savere ka,
Guruji sambhaalte gaye kissa uske janam maran ke phere ka.

Har bhautik rishte ke moh ke bandhan se veh hota chalaa azaad,
Guruji sunte gaye uska Shukrana aur uske dil se niklee fariyaad,
Ki Unke naam se uska mann mandir sadaa rahey aabaad,
Ki janam maran ke chakkar se mukt ho veh is janam ke baad.

Phir ek din jab is jahaan se jaane kee aayi bela,
Usne swayam ko na paaya bilkul bhi akela,
Kyunki Guruji ne puraskrit kee uskee bhakti,
Aur Unke deedar kee saugat ke sangg usne paa lee mukti.

Guruji kee kripa se hua musaafir ka kalyaan,
Guruji sach mein Hain itna karuna nidhaan,
Unkee kripa se ye sunehri manzil jo sabko mil paaye,
Toh sampoorna maanav jaati ka uddhaar ho jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Musaafir Ko Milee Manzil (11/19/2020)

Usey Kadapi Bhoola Nahin Kehte (11/18/2020)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1004

  Usey Kadapi Bhoola Nahin Kehte

Jabb takk vishayon mein chitt kee aasakti hai,
Tabb takk toh bilkul adhoori hamaari bhakti hai,
Aise mein toh mann ko shanti kadaachit na mil paayegi,
Aur moksh kee manzil toh sapna hee bann kar reh jaayegi.

Mahasaagar sa gehra simran aur dhyan,
Dega akash ke jaisa aseem ruhaani gyan,
Jis se kum hotey jaayenge laukik armaan,
Aur har paristhiti lagne lagegi ek samaan.

Yeh nahin hai koi kshanik prayaas,
Iske liye chaahiye avirat ruhaani riyaaz,
Jiske dwaara atma mein bas jaaye simran ka aisa saaz,
Ki sadaa sunaayee de antarmann mein divya awaaz.

Aisa mumkin hai Guruji kee sharan mein,
Kyunki adhyatmik uddhaar hota hai aakar Unke charan mein,
Guruji kee bhakti mein akhandataa ke sangg azaadi bhi hai,
Guruji aur bhakt ka prem divya bhi hai aur jazbaati bhi hai.

Na ho apni ninda par gumm na prashansaa mein prassannata,
Is adhyatmik mukaam par milegi jabb aisee sampannataa,
Toh Guruji ko hum par bahut garv hoga,
Aur veh satchittanand praapti ka parv hoga.

Vishay aur vikaar se jabb ho jaayenge bilkul duur,
Aur paawan hokar chamkega karmon ka kohinoor,
Bhakti ke suroor par chhaa jaayega Guruji ka noor,
Aur moksh kee manzil bhi milegi zaroor.

Isliye dheere dheere hee sahi,
Lekin chalna toh karein shuru,
Har kadam par sahaara bannkar,
Sangg chalenge hamaare Guru.

Usey kadapi bhoola nahin kehte,
Jo subah ka bhoola shaam ko ghar aa jaaye,
Uss ruhaani safar ko adhoora nahin kehte,
Jiske antt mein moksh kee manzil mil jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Usey Kadapi Bhoola Nahin Kehte (11/18/2020)

Guruji Ko Tu Bulaaye Jaa (11/17/2020)

November 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1003

           Guruji Ko Tu Bulaaye Jaa

Guruji ko tu bulaaye jaa,
Dekhna, aaj nahin toh kal,
Ve sunn lenge teri sadaa,
Aur baksh denge teri khataa.

Guruji ke naam kee jyot jalaaye jaa,
Unkee nazar hai tujh par har pal,
Ve tujhe girne se bachaayenge,
Aur tera beda paar lagaayenge.

Guruji ko mann mandir mein basaaye jaa,
Unkee chhavi hai kitnee nirmal,
Ve sadaa karenge tere dil mein vaas,
Aur tu kabhi na hoga Unke liye udaas.

Guruji ke naam ka jaikaara lagaaye jaa,
Itne kasht toh isee se jaayenge tal,
Ve har uljhan ko suljhaa denge,
Aur mushkil ka hal batlaa denge.

Guruji ko tu prem se rijhaaye jaa,
Toh sanvar jaayega aane waala kal,
Ve tujhse khush hon toh duniya kee parvaah nahin,
Unkee khushi se badi teri honi chahiye koi chaah nahin.

Guruji ko apne mein sudhaar dikhaaye jaa,
Aur chod de tu karna chhal,
Ve tera har kaaj sanvaarenge,
Tere karmon ka bhaar sambhaalenge.

Guruji ke geet tu gaaye jaa,
Har geet mein bhaav ho nirmal,
Unkee mahima gaane se bada koi paath nahin,
Unke prati Shukrana na ho, aisa koi din, koi raat nahin.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ko Tu Bulaaye Jaa (11/17/2020)

Safar Ka Lutf Uthaayiye (11/16/2020)

November 16, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1002

          Safar Ka Lutf Uthaayiye

Jo raaste par chalna shuru kiya hai aapne,
Toh bilkul nishchit hai pahunchna manzil par,
Isliye safar ka lutf uthaayiye,
Aur dhyan deejiye har manzar par.

Safar ke har moad par, har mukaam par,
Kuch na kuch seekhne ka milega avsar,
Kuch anubhav hongei meethe, kuch khatte,
Na karne deejiyega unhe apni akhandataa par bura asar.

Agar raaste mein sataane lagein shool,
Unn shoolon kee chubhan kee vajeh se ruk na jaana,
Chaahe duur duur takk na dikhein koi bhi phool,
Phir bhi haarkar jhuk na jaana.

Mann ke mandir mein khilaaiyega suman vishwaas ke,
Unkee prem bhari khushboo se mehekne lagenge lamhe aapke prayaas ke,
Is prayaas ko rakhiyega jaari,
Aapke kalyaan kee bhi aayegi baari.

Guruji se seedhi taar jo aap jodenge,
Unse duur karne waali har zanjeer ko jo aap todenge,
Toh aap Unkee bhakti ka var paayenge,
Aur aaj nahin toh kal aap zaroor tarr jaayenge.

Yeh safar shaayad anek janmon takk chale,
Ya thode hee janmon mein ho jaaye tayy,
Aap rahiyega beparwaah, lekin laaparwaah nahin,
Chalte rahiyega bina kisee sanshay.

Yeh kewal dilaasa ya arzoo ya abhilaasha nahin,
Is baat mein sampoorna sachchaayee hai,
Guruji kee sharan mein safar ke antt mein mukti zaroor milegi,
Ye Devon ke Dev dayasindhu Guruji kee vadiyaayee hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Safar Ka Lutf Uthaayiye (11/16/2020)

Saarthak Sandesh (11/15/2020)

November 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 1001

  Saarthak Sandesh

Jaise jaise bujhte gaye Diwali ke diye,
Jo jalaaye thei bhakt ne apne ghar ke dwaar par,
Usey aur bhi yakeen honei lagaa Guruji ke pyaar par,
Aur usey bahut khushi hui apne aitbaar par.

Kyunki in diyon ke bujhne ke saath saath,
Jal kar raakh hua uss bhakt ka ahankaar,
Aur jo roshni diyon ne phailaayee thi,
Veh divya noor bannkar apne sangg laayee ummeedein aparampaar.

Ummeed Guruji ke deedar kee,
Ummeed Unse pyaar ke izhaar kee,
Ummeed Guruji ke ikraar kee,
Ummeed jaane uss paar kee.

Ummeed saamanjasya poorna sansaar kee,
Jahaan paraajay ho jaaye har vikaar kee,
Jahaan bahaar ho niswaarth pyaar kee,
Jahaan Guru naam se shuruaat ho har vaar kee.

Aur Guru naam se hee ho har din ka antt,
Taaki har kisee ke mann mein basey rahein Bhagwant,
Ye aur aisee maasoom tamannayein liye,
Usne dekhe apne dwaar ke bujhte huey diye.

Diyon ko kiya bhakt ne Shukrana baarambaar,
Kyunki unke prakash se jaagrit huey uske mann mein shubh vichaar,
Jaise jaise bhakt ne har diya uthaaya,
Unke saarthak sandesh ko antar-mann mein basaaya.

Tithi ke hisaab se chaahe khatm hua diwali ka tyohaar,
Lekin bhakt ko mil gaya itna ruhaani uphaar,
Guruji ka naam japte huey baar baar,
Uske mann mein jal gaye sadaa ke liye diye kayee hazaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Saarthak Sandesh (11/15/2020)

Diwali Ke Diye (11/14/2020)

November 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1000

     Diwali Ke Diye

Guruji kee aseem kripa se,
Diwali ka paawan parv hai aaya,
Akash kee garima anokhi hai,
Aur divya prakash hai chhaaya.

Guruji ne kaha thaa ki maada waqt aayega,
Aaj dekh hee liya insaan ne,
Abb sudhaar hum sab par nirbhar hai,
Hamein yaad dilaaya hai Bhagwaan ne.

Aayiye manaayein Diwali ka tyohaar,
Ruhaani diyon se hum sajaayein sansaar.
Aayiye prateekaatmak diye jalaayein,
Aur vishwa mein parivartan laayein.

Diya jalaayein pyaar ka,
Jis se upchaar ho sadaachaar ka,
Is diye kee lau mein ho samvedana ka aisa spandan,
Jiskee mehek ke aagey pheeka pad jaaye chandan.

Diya jalaayein ekta kee bhavna ka,
Ek dooje ko surakshit rakhne kee kaamna ka,
Har ek ke swaasthya ka dhyan rahe,
Har ek ke manobhaav ka dhyan rahe.

Diya jalaayein himmat aur sahaanubhuti ka,
Maan rakhein unke praanon kee aahuti ka,
Jinhonei bekusoor hotey huey bhi tyaag diye apne praan,
Jinkee mahamaari kee vajeh se na bach paayi jaan.

Diya jalaayein sarv-samarpan, simran aur dhyan ka,
Taaki prachaar ho har oar divya gyan ka,
Is gyan se agyan ka timir duur ho jaaye,
Aur hum insaanon ka ahem chuur ho jaaye.

Diya jalaayein niswaarth sewa ke sanskaar ka,
Jis se kalyaan ho har ghar pariwaar ka,
Is sewa se har oar prassannata aaye,
Aur har jann ke mann mein sampannata aaye.

Diya jalaayein aisa jo bujh na paaye kabhi,
Kshamaa maang lein aur kshamaa dein bhi,
Diye ke ujaale se jaagrit rahe shraddha aur saboori,
Jo prem aur vishwaas ke sangg kar de bhakti ko poori.

Diya jalaayein neevenpann aur sachchaayee ka,
Jiske jalne se prachaar ho achchaayee ka,
Diya jalaayein neevenpann ke jazbaat ka,
Aur diya jalaayein Guruji ke prati dhanyawaad ka.

Dekhte hee dekhte ujjwal ho jaayega sansaar,
Jabb aise diyon se susajjit hoga har ghar ka dwaar,
Sirf Laxmi nahin, balki har Devi Dev ka mann mein vaas hoga,
Aur chaaron oar harsh aur ullaas hoga.

Kyun na koshish karein aisa karne kee,
Taaki har roz hee Diwali ho,
Dharti par itnee raunak ho,
Ki veh jannat kee tarehn niraali ho.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Diwali Ke Diye (11/14/2020)

Dhanteras Ke Avsar Par (11/13/2020)

November 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 999

          Dhanteras Ke Avsar Par

Sabko Dhanteras ke avsar par,
Bahut bahut badhaayi,
Dhanvantari, Kuber, aur Laxmi Maa ke sangg,
Yamraj kee bhi pooja kee tithi hai aayi.

Paise aur ratna aur heere jawaaharaat,
Yeh dhan toh hai vaashpsheel aur asthaayi,
Veh tripti kabhi santoshjanak na hoti,
Jo aise dhan se hai aayi.

Hum bahut khushnaseeb hain,
Paakar Guruji ke naam simran ke dhan,
Is dhan se apni poonji badhaayein,
Taaki anandit rahe ye mann.

Batorein achche vichaaron ka dhan,
Jinse aabaad rakhein apna mann,
Guruji kee kripa se tann mann kee sehat achchi ho,
Aur poori koshish karein, ki neeyat hamaari
sachchi ho.

Achche sanskaaron se nirmaanit ho changaa charitra,
Aur achche charitra se ho atma pavitra,
Dhan ekatrit karein karmon kee shuddhi ka,
Dhan ekatrit karein subuddhi ka.

Ek dooje ko dein hum tohfa pyaar ka,
Taaki kalyaan ho poore sansaar ka,
Ismein yogdaan zaroori hai har jann ka,
Taaki har koi hakdaar ho prem ke dhan ka.

Isliye dhan batorein santosh aur tripti ka,
Taaki veh raasta dikhaaye mukti ka,
Neeyat mein punya ho, paap nahin,
Taaki karmic vaseeyat mein sukh ho, dukh aur santaap nahin.

Simran se aur bhi badhta jaayega adhyatmik dhan,
Aur atma hoti jaayegi shantiswaroop aur sampann,
Shanti aur sampannataa ke ruhaani dhan se,
Nakaratmakta jaati rahegi mann se.

Guruji ka noor is dhan par aisa chhaayega,
Ki is dhan par divya khoobsoorati laayega.
Mann ka mandir is divyataa se jagmagaayega,
Aur aamodit atma ko nirmal anand aayega.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dhanteras Ke Avsar Par (11/13/2020)

Suramya Gulaab (11/12/2020)

November 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 998

                 Suramya Gulaab

Ye yug bhi ajab chunautiyaan lekar aaya hai,
Lekin kya hum insaanon ne uddhaar kee oar kadam badhaaya hai?
Ekatrit karte hain hum saamaan,
Lekin kya hum Paramatma ko de rahein hain sammaan?

Aaj loag pareshaan hain ki baahar nahin jaa sakte zyada,
Lekin kya bheetar jaane ka pakka kiya hai hum ne iraada?
Baatein karte hain hum kitaabi gyan aur Bhagwaan kee,
Lekin kya poori poori koshish kar rahein hain hum simran aur dhyan kee?

Achchi achchi baatein kar ke doojon ko updesh hum dete hain,
Lekin kya inn baaton se swayam achchi seekh hum lete hain?
Sochte hain hum ki khoobsoorat bannkar hum shobha badhaate hain darpan kee,
Lekin kya hum ne safaai kee hai apne antar-mann kee?

Zara sochiye, in sab prashnon ke uttar,
Aur swayam ko hee deejiye jawaab,
Abb bhi mauka hai pavitrikaran ka,
Sudhaar lein jo aadatein hain kharaab.

Guruji ne baagbaan bannkar hamaari parvarish kee hai,
Toh aayiye hum sab mehekein bann kar unke suramya gulab,
Dua karein ki saari sarbat ka bhalaa hota rahey,
Aur sabke jeevan ko roshan karey Guruji ka noore-aftaab.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Suramya Gulaab (11/12/2020)

Apni Zindagaani Kee Kahaani (11/11/2020)

Dhirja Bhat M. D.: November 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 997

Apni Zindagaani Kee Kahaani

Karam bhoomi hai yeh sansaar,
Ye nahin hai tera asli ghar,
Lagta hai tu thakk gaya hai,
Aaja abb tu Guruji ke dar.

Yahaan milega niswaarth pyaar,
Kyunki Guruji Hain bahut udaar,
Naam simran ka Ve denge uphaar,
Is uphaar se hee hoga tera beda paar.

Isliye na karne de tu paristhitiyon ko
Apne atma-vishwaas par vaar,
Kyunki nahin toh tujhe kaise raas aayega
Guruji ka deedar?
Kyunki atmataras ke andhere mein
Tu kho jaayega,
Aur tera utsaah haar kar
Gehri neend so jaayega.

Is neend se jagaa tu apne utsaah ko,
Guru naam se ujjwal kar tu apni raah ko,
Samarpan kar Guruji ko, lekin karta chal apne karam,
Ve sab sambhaalenge, lekin tujhe nibhaana hai apna dharam.

Dharam imaandaari aur insaaniyat ka,
Dharam raaste ka aur ruhaaniyat ka.
In sabka hai ek dooje se naata,
Is naate ke racheta Hain karam phal ke daata.

Guruji hee Hain Ve racheta aur daata,
Aur hamaare har karam ke gyaata.
Insaaniyat se ruhaaniyat ka naata Unhe hai bhaata,
Kyunki uss se maanav jeevan sahi disha mein hai jaata.

Kyun asmanjas mein hai phir tu,
Kya soch raha hai tu praani,
Aaj ya kal ye baat sabb ne hai jaani,
Ki ye laukik duniya hai bilkul begaani.
Is mayamay jagat kee leela,
Kewal Shivji ne hai jaani,
Isliye tu abb MahaShiv Guruji ko,
Saump de apni zindagaani kee kahaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Apni Zindagaani Kee Kahaani (11/11/2020)