Aye Jaane Waale Saal (12/31/2020)

December 31, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1047

            Aye Jaane Waale Saal

Aye jaane waale saal, Tumhaara aakar jaane ka shukrana,
Kaun apna hai, kaun paraaya,
Yeh tumhaare raaj mein hai jaana.

Tumne kitne achche se insaan kee har kamzori ko pehchaana,
Abb jaate jaate apne sangg tum lekar jaana,
Har tarehn ka roag,
Jo insaan raha hai bhog.

Tumhaare hotey huey kitnon ko mahamaari ne sataaya,
Kitnon par se uth gaya apnon ka hee saaya,
Tumne sabko sudharne ka mauka diya,
Lekin phir bhi kitnon ne kitnon ko dhokha diya.

Kaheen jhooth kee beemari badh gayi,
Kisee kisee par itnee ‘mai’ chadh gayi,
Kaam, krodh, lobh, niraasha huey hadd se bhi zyada,
Matsar aur ye baaki vikaar baney adhyaatmik unnati mein baadha.

Chaahe saamuhik satsang kee aas mein sangat tarasti rahi,
Guruji kee mehar phir bhi tarehn tarehn se barasti rahi,
Kyunki jyot jalne lagi ghar ghar mein Unke naam kee,
Sangat ko aur bhi tamanna honei lagi Guruji ke simran aur dhyan kee.

Ghar ghar mein satsang honei lagey,
Baahar bheed kumm ho gayi,
Ghar ka darwaaza khulne ke bajaaye
antarmann ke dwaar khulne lagey,
Jinhonei shraddha se sadhna kee, unke paap Guruji kee kripa se dhulne lagey.

Jinhonei tumhaari dee hui chetaavani par abb bhi gaur nahin farmaaya hai,
Ve shaayad abb takk anjaan hain ki kalyuga ka sab par saaya chhaaya hai,
Tum jaate jaate kripa kar unhe samjhaate jaao,
Aur sabko neevenpann ka paath padhaate jaao.

Kitne loag kisee na kisee vajeh se pareshaan hain,
Jaate jaate unn sabko saantvanaa dete jaao,
Anek kaaran se jo sangi saathi udaas hain,
Apne saath sabki udaasi lete jaao.

Aane waale varsh ke liye dete jaao sabko shubhkaamnaayein,
Taaki bhavishya mein mushkilein aayein toh hal bhi saath laayein.
Tumhaare raaj mein ye hai dekha sabne kee padaarthon kee daud vyarth hai,
Aur jeevan mein niswaarth pyaar aur saamanjasya ka anmol arth hai.

Guruji kee kripa se aane waala saal mangalmay ho,
Aur aarogyataa laaye tann aur mann kee, Insaan aur bhi kadr karey sewa, simran, aur daan kee,
Aur khatm ho bhaag daud laukik dhan kee.

Ik dooje ko insaan maaf karey,
Mayle mann ko saaf karey,
Guruji ke ashirwaad se har insaan naye varsh ko jabb galey lagaaye,
Toh naya varsh sabke dilon mein ummeed ke chiraag jalaaye.

Guruji, Aapki dee hui himmat se,
Sab bhakt jann jaane waale varsh ka saamna kar paaye,
Aane waale saal mein Apni anukampa ke amrit kee aisee varsha keejiye,
Jis mein bheeg kar yeh sampoorna srishti haneshaan ke liye tarr jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aye Jaane Waale Saal (12/31/2020)

Chitt Kee Shuddhi Se Mukti Takk (12/30/2020)

December 30, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1046

     Chitt Kee Shuddhi Se Mukti Takk

Bahut shubh hai Shiv Purana kee katha ka shravan,
Uske pashchaat kiya jaaye uska manan,
Manan ke upraant ho iska dhyan aur chintan,
In sabse hota hai chitt shuddh aur safal hota hai vandan.

Chitt kee shuddhi anivaarya hai,
Bhakti ke janam ke liye,
Aur is bhakti se janam lete hain,
Pavitrataa ke do divya diye.

Shiv Purana mein likha hai ki bhakti ke do putr hain,
Vairaagya aur gyan roopi buddhi,
Inke sangg bhakti ke praakatya ke liye chaahiye,
Ki hamaari chitt kee ho shuddhi.

Yeh bhi likha hai Shiv Purana mein,
Isliye iskee saarthakta mein shaq kee nahin hai koi baat,
Ki chitt shuddhi aur bhakti ke aagaman se,
Divya mukti hoti hai praapt.

Shiv Purana kee katha uttam aur sukhdaayi hai,
Jo shraddha se isey sunta ya padhta hai, uskee sadaa hoti bhalaayi hai,
MahaShiv kee kripa se mitt jaate hain sab dosh,
Hriday mein vaas karta hai nirmal anand aur santosh.

Guruji ke ashirwaad se Unke bhakt jabb padhein aur sunein Shiv Purana,
Toh bhakton ko milta hai moksh praapti ka shudh gyan,
Shiv Purana ke gyan ka anusaran karne par jo bhakt deta hai dhyan,
Uss bhakt se ati-prassann ho jaate Hain Shiv Bhagwaan.

Isliye kyun na Shiv Purana ke maadhyam se,
Chitt kee shuddhi se pahunchein bhakti takk,
Aur bhakti ke do paawan putron kee madad se,
Raasta tayy karein hum mukti takk.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chitt Kee Shuddhi Se Mukti Takk (12/30/2020)

Kar Le Guruji Se Baatein (12/29/2020)

December 29, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1045

          Kar Le Guruji Se Baatein

Kar le Guruji se baatein tu do chaar,
Kar le Unse tu baatein baar baar,
Chaahe kar le baat Unke swaroop se,
Ya phir apne antarmann mein basey Unke roop se.

Kabhi kar le sirf ek,
Kabhi kar le baatein anek,
Din raat ka fark na dekh,
Har baat se Ve badlenge tere lekh.

Kabhi baaton mein kar le tu Guruji se apni ibadat ka ikraar,
Toh kabhi baaton baaton mein bayaan kar le apna pyaar,
Kisee kisee baat mein Unhe suna de tu apne dil ka haal,
Aur kabhi baaton baaton mein pooch le tu Unka bhi haal.

Baatein karke Guruji se kumm kar le gumm ka bojh,
Ve jaante Hain phir bhi tu baaton baaton mein keh de apni soch,
Baat kar le Unse apni har kamzori aur har naadaani kee,
Baat kar le Unse tu apni har khushi aur har pareshaani kee.

Baatein karte huey rona aaye toh ro le,
Baaton mein apne bhaav tu piroh le,
Mann karey toh baat ko geet banaa le,
Baatein karke Guruji ko apna meet banaa le.

Baaton mein Guruji ke aagey
Apne vichaaron kee kitaab tu khol de.
Na ghabraa, na hichkicha
Jo bhi dil mein hai veh bol de.

Baatein karte karte beech mein chup bhi ho jaana,
Taaki tu sunn sakey jo Guruji ne hai tujhe bataana,
Yoon hee har din Guruji se baatein karte karte kabhi Shukrana karna bhool na jaana,
Aur phir yoon hee Unse baatein karte karte tu Unhee ka ho jaana.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kar Le Guruji Se Baatein (12/29/2020)

Veh Suhela Vela (12/28/2020)

December 28, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1044

     Veh Suhela Vela

Pyaare Guruji,

Har janam mein har shwaas bhi karey Aapka Shukrana,
Toh bhi mumkin nahin hai Shukrana ka poori tarehn se bayaan ho paana,
Aapke naam ke amrit kee har boond mein jeevandaan kee shakti hai,
Aapki mahima ke mahaan mahasaagar mein doob jaane se atma tarti hai.

Girne se bachaate Hain Aap,
Aur girey huon ko uthaate Hain Aap,
Apni goad mein bithaate Hain Aap,
Dukh dard mitaate Hain Aap.

Aapke bhakt na royein,
Iske liye na jaane kitne aansoon bahaa dete Hain Aap,
Aapke bachche swasth rahein,
Iske liye anginat roag Apne par lete Hain Aap.

Jabb hum sotey hain, toh Aap jaagte Hain hamaari raksha ke liye,
Jabb hum jaagey hotei hain, toh bhi Aap satark rehte Hain hamaari suraksha ke liye.
Jo bhakt Aap ke sangg jod leta hai seedhi taar,
Uske toh bin boley hee Aap sunte Hain har baar uske dil kee pukaar.

Apne pratyek bachche ke sangg Aap nibhaate Hain mamta ka nirmal naata,
Aapko sabb bhakton ka maasoom bhaav hai bhaata,
Jaise oas kee naazuk boondon ko itne naazon se patte Hain sambhaalte,
Aap toh uss se bhi kaheen zyaada nazaakat se hamaara noor Hain sanvaarte.

Jo moti seep mein rachit hokar seep mein rehte hain,
Unkee rachna mein seep ko dard nahin hota, kehta hai vigyaan,
Lekin hamaara uddhaar karte samay Aap jo peeda sehte Hain,
Hamaari toh kshamtaa mein hee nahin hai karna uska anumaan.

Kripa kar aisee sumat bakhshiye Guruji,
Ki na karein hum kabhi apni bhakti ya gumm kee numaaish,
Aapko hamaari vajeh se kabhi dukh na ho,
Dil mein aur labhon par hai ye vinamr guzaarish.

Aapki kripa se jeevan ke is rangamanch par,
Apna kirdaar imaandaari aur lagan se hum karein adaa,
Aapki hee raza mein raazi rahein hum, daata,
Aur Aapka bhaana hamein meetha laagey sadaa.

Jabb doosri oar jaane kee bela aaye,
Apni goad mein lekar jaana, pyaare Parwardigaar,
Jabb takk atma ko mukti na mil jaaye,
Aap taarte rehna hamein, taral Taaranhaar.

Jitne bhi janam lene likhen hon kismat mein,
Ve saare hee beetein Aapki khidmat mein,
Aur jabb moksh ka veh suhela vela aaye,
Tabb buss Apne mein lena hamein samaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Veh Suhela Vela (12/28/2020)

Guruji Kee Meharbaaniyan (12/27/2020)

December 27, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1043

            Guruji Kee   Meharbaaniyan

Guruji jaanein akash, prithvi, aur paataal kee kahaani,
Ve Hain MahaShiv, teenon lok ke swami,
Ve Hain anant mahima wale antaryaami,
Unhee ke bharose hain srishti ke sab praani.

Jo padti rahegi Guruji kee anupam kripadrishti,
Toh awashya sanvar jaayegi yeh srishti,
Lekin, maanav ko hoga samajhna,
Ki veh chod de divyataa se ulajhna.

Bhaagi bann jaaye maanav sadgati ka,
Prann le le veh adhyatmik unnati ka,
Chitt kee zameen mein simran ka beej boye,
Guru Govind ka dhyan karte huey jaagey aur soye.

Itnee museebaton se nikaala hai Guruji ne har baar,
Toh abb kee baar bhi zaroor nikaalenge,
Har baar sambhaala hai Guruji ne,
Toh abb kee baar bhi awashya sambhaalenge.

Nirmal bhaav se hum maangein kshamaa,
Abb bhi uddhaar ke liye hai samaa,
Guruji kalyaan karna chaahte Hain,
Ve sadaa sahi raah dikhaate Hain.

Guruji ko hum maatha lein tek,
Guruji kee leela ko dekh,
Unse bilkul na darein,
Buss Unse ardaas karein.

Ardaas mein nisanshay bahut shakti hai,
Ardaas ke liye chaahiye shraddha aur bhakti hai,
Jitna sachchaa hoga bhaav,
Utna achcha bharega har ghaav.

Ardaas karein hum kalyaan kee,
Na ki dhan kee ya saamaan kee,
Kalyaan mein hai adhyatmik sukh,
Kalyaan se mitt jaayega har dukh.

Arpan karein Guruji ko shraddha ke phool,
Ve raaste se hataayenge dard dene waale shool,
Guruji ko poojein hum har ghadi har pal,
Unhe saump dein apna kal aaj aur kal.

Dhyan dete huey apne karam par,
Chalein hum insaaniyat ke dharam par,
Jo antarmann mein hongei bhakti ke phool,
Toh hamaari ardaas awashya hogi qubool.

Sabke dil mein ek dooje ke liye maan hoga,
Saansaarik saamanjasya mein sabka yogdaan hoga,
Sanvar jaayengi sabki zindagaaniyaan,
Hameshaan ke jaise, aagey bhi hoti rahengi Guruji kee meharbaaniyan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Meharbaaniyan (12/27/2020)

Thoda Aur (12/26/2020)

December 26, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1042

                     Thoda Aur

Thoda aur tu kar le simran,
Thoda aur ekaagrachitt kar ke mann,
Tu kar le Guruji ka naman.
Thoda aur dhyan lagaa le,
Thoda aur gyan badha le,
Tu kar le Unka manan.

Thoda aur prayatna kar,
Thoda aur tu jatna kar,
Unhe raaze dil bataane ka,
Thoda aur kar le prayaas,
Thoda aur kar le abhyaas,
Unhe haale dil sunaane ka.

Thoda aur zehen se jaane de,
Thoda aur zubaan par aane de,
Unse kehte huey tu apna gumm,
Thoda aur dard tu pee jaa,
Thoda aur mastt hokar tu jee jaa,
Is se bhi tera gumm ho jaayega kumm.

Thoda aur achchaa tu bann ja,
Thoda aur sachchaa tu bann ja,
Kar ke Guruji ka sammaan,
Thoda aur vishwaas jagaa le,
Thoda aur sanshay mitaa le,
Kar le tu Guruji ka maan.

Thoda aur kar apne mein sudhaar,
Thoda aur karaa le apna uddhaar,
Unkee karuna se tu reh prassann,
Thoda aur le le Unka ka ashirwaad,
Thoda aur jod le ashirwaad ka prasad,
Unkee kripa se tu ho jaa sampann.

Thoda aur tu gaa le,
Thoda aur muskuraa le,
Baithkar Unke kamal charan mein,
Thoda aur shukr tu manaa le,
Thoda aur haq tu jataa le,
Samaakar Unkee sukhdaayee sharan mein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Thoda Aur (12/26/2020)

Eko Ek Sahaara, Guruji (12/25/2020)

December 25, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1041

Eko Ek Sahaara, Guruji

Maya se malin is mann ka,
Paapon se peedit praaniyon ka,
Dukh dard se dabey dil ka,
Eko ek sahara, Guruji.

Vikaaron se vyaakul vichaaron ka,
Chaalaaki kee chot se cheekhte huey chayyn ka,
Ahem se ashant hui atma ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Imaan se inkaar karte huey insaan ka,
Kaam krodh se kalapti hui kismat ka,
Buraayi ke bojh se bigde huey bhavishya ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Haalaat se haare huey haathon ka,
Matsar se mayyle huey manobhaav ka,
Nakaratmak nazaaron se numm huey naynon ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Imaan se ikraar karte huey insaan ka,
Sadachari se sajey huey sajjan ka,
Prem se prerit pooja ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Shraddha se shobhit shakhs ka,
Bairaag se huey baanvre bhakt ka,
Samarpan se santusht satpurush ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Sewa se sukhi huey sewadaar ka,
Ruhaaniyat ke rass mein ramey huey raahi ka,
Maalik kee mehar mein muskuraate huey musaafir ka,
Har haalaat mein hanste huey humsafar ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

Divyataa mein doobey huey deewaane ka,
Ashirwaad se anandit huey afsaane ka,
Taralta se tarte huey taraane ka,
Khudaayee ke khaas khazaane ka,
Eko ek sahaara, Guruji.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Eko Ek Sahaara, Guruji (12/25/2020)

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar (12/24/2020)

December 24, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1040

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar

Shaayad hum mein se koi bhi Guruji ke prem ke yogya nahin,
Phir bhi Guruji hum sabse karte Hain pyaar,
Apne har bhakt ko Unhonei kiya hai sweekar,
Aur Apni karuna se dete Hain Ve sabko taar

Is se badi khushkismati kya hogi,
Is se mubarak niyati kya hogi,
Ki MahaShiv ke haath mein hai jeevan kee doar,
Buss, phir dekhne kee zaroorat hee nahin hai kaheen aur.

Karna hai hamein simran aur dhyan,
Aur pyaare Guruji ka gungaan,
Har paristhiti mein rakhna hai Guruji ka maan,
Kyunki Ve Guru ke roop mein Hain MahaShiv Bhagwaan.

Kisee ka bhalaa kar sakein toh achcha ho,
Lekin kisee ka bura na karein,
Guruji ko khushi ho jab bhakt sachcha ho,
Isliye sachche rehne kee koshish karein.

Bina vehem ke saral rakhni hai zindagi,
Bina ahem ke karni hai Guruji kee bandagi,
Bhakti kee shakti se todni hai durvichaar kee deewar,
Aur apnaane hain hamein satyugi sanskaar.

Jo bhi kaam karein, rakhein is baat ka dhyan,
Ki Guruji ko uss kaam se honi chaahiye prassannata,
Jo Guruji ko na bhaaye vaisa kaam bilkul na karein,
Kyunki uss kaam se phir hamein bhi na milegi sampannata.

Chaahe hum hon jis bhi sheher ya gaain mein,
Chaahe hum hon waqt kee dhoop mein ya chhaaon mein,
Guruji ko sadaa hai hamaari bhalaayee kee fikr,
Chaahe hum karein ya Unse na bhi karein kisee chinta ka zikr.

Isliye apni khushkismati ka jashn manaate huey,
Har museebat ko kshanabhangur jaante aur maante huey,
Guruji ke laad aur pyaar se tarte jaayein,
Aur chunautiyon ka saamna karne ke liye dheeraj dharte jaayein.

Unhonei sweekaara hai hamein,
Hamaari khaamiyon ke baavajood,
Unkee inaayat ke bagair,
Ek pal bhi nahin hai hamaara wajood.

Hum hain prayashchit karte huey paapi praani,
Hum par Maalik kee mehar kee hai meharbaani,
Unke ashish ke bina namumkin hai jeeni yeh zindagaani,
Isliye Unke prati Shukrana se saji rahe hai zindagi kee kahaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Hum Sabse Karte Hain Pyaar (12/24/2020)

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana (12/23/2020)

December 23, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 #
1039

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana

Kalyuga ka kaal roopi sarp insaan ko dastaa jaa raha hai,
Insaan vikaaron ke jaal mein phansta jaa raha hai,
Aise mein Shiv Purana uttam saadhan hai sabke hitt ka,
Aur ye granth hai upaay paapon ke praayashchitt ka.

Iska shravan karein aur pathan karein,
Saath mein Shivji ka manan karein,
Toh duur ho sakti hai har mushkil aur beemari,
Ye itna uttam paath hai ki iska adhyayan hai mangalkaari.

Guruji chaahein ki Unke bhakt,
Har din Shiv Purana ko padhein,
Taaki moksh kee manzil par le jaane waale raaste par,
Unke bhakt isee janam mein aagey badhein.

Shiv Purana ko poojne se,
Paapon kee hoti hai shuddhi,
Shiv Purana ko padhne se,
Praapt hoti hai adhyatmik buddhi.

Shivji swayam hee Hain Shiv Purana ke aadhaar,
Aur Guruji is dharti par aaye bannkar MahaShiv ke avataar,
Atyant gehra hai Guruji aur bhakt ka naata,
Jo har janam mein saath hai nibhaata.

Sundar sa saath nibhaate huey,
Yeh naata moksh takk hai pahunchaata,
Jo shraddha aur bhakti se Shiv Purana hai padhta,
Guruji kee mehar se veh bhakt kasht mein bhi shant reh paata.

Karam bhoomi hai ye saara ka saara sansaar,
Kisee par kumm kisee par zyada hai karmon ka bhaar,
Jo Shiv Purana ko padhey ya sunei baar baar,
Uska aaj nahin toh kal awashya hota hai uddhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Hitt Ka Uttam Saadhan, Shiv Purana (12/23/2020)

Satya Ka Sahaara (12/22/2020)

December 22, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1038

                  Satya Ka Sahaara 

Guruji se hai rachna prakriti kee,
Guruji se hai buniyaad sansaar kee aakriti kee,
Guruji uthaate Hain zimmewaari jagg kee jagriti kee,
Aur samjhaate Hain saarthakta satya kee sweekriti kee.

Kyunki satya se hee hai nyaya paraayantaa,
Satya se hee hai sadaachaari,
Satya se hee hai dhaarmikta,
Satya hai hum sabki zimmedaari.

Satya se miltee hai shanti,
Satya se aati hai adhyaatmik kanti,
Satya se bhayy duur hota hai,
Satya se ahem chuur hota hai.

Satya se andhera mitt jaata hai agyan ka,
Satya se deep ujjwal hota hai atma-sammaan ka,
Satya se har chunauti ka saamna karne kee miltee hai shakti,
Satya se aur bhi anandmayee ho jaati hai bhakti.

Satya Shiv hai,
Satya shubh hai,
Satya saidhaantik hai,
Satya shudh hai.

Satya mein hai sooraj ke tej jaisa prakash,
Satya hai aseem aur anant, jaise akash,
Satya kee antt mein hameshaan jeet hoti hai,
Har Devi Devta ko satya se preet hoti hai.

Satya ko ashish deti hai Khuda kee khudaayee,
Satya ko ashirwaad deti hai Guruji kee vadiyaayee,
Kabhi kamzor nahin padta hai satya ka sahaara,
Satya Guruji ko sadaa lagta hai pyaara.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Satya Ka Sahaara (12/22/2020)