Zindagi Ka Imtehaan (12/01/2020)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 1017

 Zindagi Ka Imtehaan

Zindagi toh hai ek imtehaan,
Karte huey Khudaayee ko salaam,
Tu salaamat rakh apni muskaan,
Aur Guruji kee baat le tu maan.

Banda bann aur kar tu changey kaam,
Baaki Guruji karenge intazaam,
Tu rakhta chal Unka maan,
Ve sambhaalenge tera atma-sammaan.

Guruji ne tujhe jeevan kiya hai pradaan,
Jo hai ek bahumoolya inaam,
Kyunki tu ismein kar sakta hai karmon ka bhugtaan,
Taaki tujhe bhavishya mein mukti dein Bhagwaan.

Guruji kee mamta hai amrit kee khan,
Unkee kripa se is amrit ka tu kar le paan,
Is amrit se tujhe milega divyataa ka jo gyan,
Uss se poora hoga adhyatmik unnati ka armaan.

Guruji ke simran mein leen kar le tu apne praan,
Yeh simran hai har samasya ka samaadhaan,
Simran ke abhyaas se gehra hoga tera dhyan,
Aur dhyan mein tujhe darshan denge Bhagwaan.

Isliye hokar baaki har tamanna se anjaan,
Maan kar is imtehaan ko ek vardaan,
Advait Siddhant ko banaa kar bhakti ka anjaam,
Kar le tu zindagi ka imtehaan dene wale ko pranaam.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Zindagi Ka Imtehaan (12/01/2020)

Leave a comment