Anokhi Azaadi (12/03/2020)

December 3, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1019

      Anokhi Azaadi

Aankh numm hui jab har sangi saathi chhoota,
Kisee ne awaaz na suni jab uska dil toota,
Aankhon ke aansoon ponchh kar,
Guruji ke baare mein soch kar,
Usne tootey dil ko rakha Guru charan mein,
Aur leen hua Guruji ke manan mein.

Dil mein basey simran ke manke prem se samet kar,
Veh shraddha se japne lagaa naam kee mala,
Dridh vishwaas ke sangg japta gaya,
Jaanta thaa ki uska Guru hai bade dil wala

Jabb se usne kiya thaa apna jeevan
Guruji ko samarpan,
Tabb se simran se saaf honei lagaa thaa
Uska mann,
Poora bharosa thaa usey Guruji ke saath par,
Usey maalum thaa Guruji dhyan denge uskee har baat par,
Isliye bheed mein kho jaane ke bajaay,
Usne Guruji ko apna haal diya bataay.

Guruji ne Apni divyataa ka prataap dikhaaya,
Manan ke dauraan uska santaap mitaaya,
Simran karte karte uska gehra hua dhyan,
Toh Guruji ne diya usey adhyaatmik gyan.

Guruji kee mamta ke marham se,
Tootey dil ka ghaav bhar gaya,
Jo dukh usey sataa raha thaa,
Guruji ne veh dukh har liya.

Shukrana kiya usne Guruji ko,
Ki Unkee kripa se uskee aankh khuli,
Guruji ke naam ke amrit se,
Uske mann se shikva kee mayl dhuli.

Dua niklee uske dil se har Uss shaqs ke liye bhi,
Jisne uske pyaar ka mol na jaana,
Guruji kee nigraani mein ye sab hua,
Isliye usne swayam ko khushkismat maana.

Guru prem kee gehraayi aur vadiyaayee se,
Uska atma-vishwaas aur utsaah raha barkaraar,
Bin kisee bhayy aur bin sanshay,
Usne kar liya har bhaavuk lamhe ko paar.

Guruji ne ek pal ke liye bhi usey choda nahin akela,
Duur kiya Unhonei uske dil se jeevan ka har jhamela,
Mehsoos hui usey azaadi jo thi anokhi aur ruhaani,
Guru kripa se nutan nirmalta se utsaahit hui zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Anokhi Azaadi (12/03/2020)

Leave a comment