Aushadhi Kee Pudiya (12/10/2020)

December 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1026

Aushadhi Kee Pudiya

Mareez pareshaan thaa,
Kaafi hairaan thaa,
Har davaa le chuka thaa,
Lekin roag na ruka thaa.

Koi shareerik roag na thaa,
Shareer ke sab angg theek thei,
Lekin uska chehra pheeka laagaa,
Aur sab lakshan maansik dukh ke prateek thei.

Roag thaa usey niraasha aur udaasi ka,
Roag jeevan kee haari hui baazi ka,
Roag thaa samaaj mein bhatakte rehne ka,
Roag aapey mein na rehne ka.

Kabhi zor zor se rota thaa,
Kabhi bilkul chup hota thaa,
Kabhi aahein bharta thaa,
Kabhi bahut darta thaa.

Raaste mein usey ek musaafir mila,
Jiska chehra thaa itna khila,
Mareez ko dekhkar Veh raahi ruk gaya,
Aur usey namaste kar ke Veh jhuk gaya.

Raahi ke chehre par divya noor thaa,
Aankhon mein thaa prem, na ki guroor thaa,
Usne poochha mareez se kya beemaari hai,
Toh mareez ne kaha ki har tarehn se buss laachaari hai.

Raahi ne mareez ka pakda haath,
Aur dee usey aushadhi kee ek pudiya,
Kaha usne mareez se ki is aushadhi se,
Haal uska ho jaayega badhiya.

Mareez thoda sa ghabraaya,
Aur thoda sa muskuraaya,
Usne raahi ko galey se lagaaya,
Aur raahi ne usey samjhaaya,
Ki jitnee aushadhi lega vo,
Utna changaa hota jaayega uska haal,
Yeh sun mareez ne pudiya kholni chaahi,
Aur poochne lagaa veh raahi se sawaal.

Lekin veh aasharyachakit hua,
Jabb ojhal ho gaya raahi,
Isliye vishwaas ko jagaakar mann mein,
Usne aushadhi shuru karni chaahi.

Pudiya kholi toh usmein na thi koi goli,
Lekin usne padha jo kaagaz par thaa likha,
Haath jodey aur aankhein bandd kein,
Toh Guruji ka chehra saamne dikha.

Pudiya ke kaagaz par likha thaa,
Ki aushadhi hai Guruji ka naam,
Badi lagan se veh naam japne lagaa,
Aur usey aane lagaa aaraam.

Din aur raat, subah aur shaam,
Mareez ne shuru kar diya japna naam,
Ehsaas hua ki Guruji aaye thei raahi ke roop mein,
Dene usey aushadhi ke roop mein naam ka daan.

Khushkismati thi uskee ki Guruji ne usey ilaaj diya thaa bataaye,
Shukrana kiya usne ki Guruji usey darshan dene thei aaye,
Mann ke mandir mein basaaya usne Guruji ko,
Aur Ve uske mann mandir mein muskuraaye.

Gehra hota gaya uska simran,
Simran se badhta chala uska dhyan,
Har maansik roag ko bhulaakar,
Veh honei lagaa adhyatmikta mein balvaan.

Atma-bal paakar usey achchaa lagaa,
Uskee har vivashtaa hui duur,
Guruji mein magn veh rehne lagaa,
Chaaya uspar Guruji ka noor.

Badi kalyaankari saabit hui,
Aushadhi kee veh pudiya,
Naam kee aushadhi lee jab se usne,
Uska haal honei lagaa badhiya.

Har tarehn ka dukh dard bhool kar,
Guruji mein rehne lagaa vo magan,
Guruji ke naam mein kho diya usne swayam ko,
Aisee laagee usey naam kee lagan.

Aushadhi lene mein mareez kee neeyat thi sachchi,
Isliye mareez kee sehat Guruji kee kripa se hui achchi,
Aushadhi kee pudiya apna kaam kar gayi,
Mareez swasth hua aur uskee atma tarr gayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aushadhi Kee Pudiya (12/10/2020)

Leave a comment