Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne (12/14/2020)

December 14, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1030

Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne

Pyaare Guruji,

Aapke dar par jabb pehli baar aa rahe thei,
Toh na maalum thaa ki kya paayenge,
Aapke dar par aakar ye jaana humne,
Ki bin maange hee sab paa jaayenge.

Yahaan kehne kee koi zaroorat nahin,
Yahaan shubh kaaj ke liye koi mahoorat nahin,
Yahaan niswaarth pyaar ka sabse bada ohda hai,
Yahaan hota nahin koi bhi sauda hai.

Yahaan gunah maaf ho jaate hain,
Buss, neeyat honi chahiye sachchi,
Yahaan bin kahey bhakt sab kuch paate hain,
Buss, bhavna honi chahiye achchi.

Yahaan niswaarth sewa ka bada mahatva hai,
Yahaan simran karna hamaara karvatya hai,
Yahaan Aapki mahima ka hota hai bakhaan,
Yahaan sab karte hain Aapka gungaan.

Is dar par koi na ameer hai na gareeb,
Is dar par Aap Hain sabke kareeb,
Yahaan sunvaayi hoti hai sabke manobhaav kee,
Yahaan davaa miltee hai har ghaav kee.

Yahaan jo aata hai khali jholi lekar,
Veh maalaamaal hokar yahaan se jaata hai,
Jisko jaise dhan kee ichchaa hoti hai,
Veh vaisa hee dhan yahaan paata hai.

Jo maangta hai paise aur heere jawaaharaat,

ya phir chaahta hai hona mashhoor,
Usey Aap veh sab dete Hain zaroor.
Jo chaahta hai naukari aur ghar,
Usey milta hai veh bhi is dar par.

Lekin, jo Aap par deta hai chod,
Ki Aap dein jo Aapko lagta hai theek,
Usey kabhi bhi Aapse,
Maangni nahin padti bheekh.

Kyunki uchit samay aane par,
Aap dete Hain usey sab,
Uska adhoorapan poora kar dete Hain,
Aap Hain mata, pita, aur Rabb.

Vahee sabse achchaa dhansangreh hai,
Jo Aap swayam dete Hain,
Varna toh kitne anuchit padaarth,
Hum vyarth mein ekatrit kar lete hain.

Lekin, Aapka diya hua sab kuch,
Sach mein hota hai kalyaankaari,
Sabse badi saugat hai ruhaani gyan,
Jiskee prerna se beet paaye ye umr saari.

Is prerna se samajh aane lagta hai,
Ki har bhautik dhan hai vyarth,
Bhakti, gyan, bairaag kya hai,
Samajh aane lagta hai inka arth.

Guruji, aisee kripa keejiye,
Ki Aapke dar par hum saarthakta ko paayein,
Gyan, bhakti, bairaag ke sahaare,
Aapki karuna se hum tarr jaayein.

Bhalaa keejiye hamaara, aye daata,
Aapke dar ke alaawa nahin hai aur koi bhi dar,
Jab se yahaan par bulaaya Hai Aapne,
Yahee hamein lagta hai abb apna ghar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jabb Se Yahaan Par Bulaaya Hai Aapne (12/14/2020)

Leave a comment