Nirmal Naam Ka Daan (12/20/2020)

December 20, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»# 1036

           Nirmal Naam Ka Daan

Pal pal sangat par hai Guruji kee mehre nazar,
Unhee ke ashirwaad ka hai ye asar,
Ki simran mein lagta hai mann,
Aur mila hai hamein dhyan ka dhan.

Is dhan ko Guruji kee kripa se badhaayein,
Atma ko ruhaaniyat kee oonchaayee par pahunchaayein,
Saath hee neevenpann se aur bhi zyada jhukte jaayein,
Aur hum galat kaam karne se rukte jaayein.

Simran aur dhyan se hoga Guruji se naata gehra,
Guruji ka sadaa hoga hamaare adhyatmik kram-vikaas par pehra,
Jitnee nek neeyat aur jitna dridh hoga hamaara iraada,
Hamaari adhyatmik unnati Guruji kee mehar se hogi utnee hee zyada.

Simran kee gehraayi mein lagne lagega dhyan,
Niyamit roop se ye karenge toh vikasit hoga ruhaani gyan,
Kalyuga mein is se bada na hai koi bhi vardaan,
Isliye zaroori hai ruhaani gyan ke vardaan ko dena sammaan.

Guruji ne diya hai hamein Apne naam ka daan,
Unke bhakt β€˜bande’ banein, yahee hai Unka armaan,
Agar hum insaan Guruji kee baat lein maan,
Toh bilkul nishchit hai hamaara kalyaan.

Phir kyun taalein hum yeh shubh kaam,
Is shubh kaam se hum paa sakte hain param dhaam.
Karein Guruji ka koti koti Shukrana aur pranaam,
Ki Kalyuga mein hamein mila hai Unke nirmal naam ka daan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Nirmal Naam Ka Daan (12/20/2020)

Leave a comment